Bartar Qayas Se Hai Maqam e Abul Hussain Manqabat with Lyrics
Bartar Qayas Se Hai Maqam e Abul Hussain Manqabat with Lyrics
Bartar qayas se hai maqam e abul hussain
Sidrah say pucho rif’at e baam e abul hussain
Warsta paye basta e daam abul hussain
Azad naar se hai ghlamِ abul hussain
Khat e siya mein noore ellahi ki taabish
Kya subh e noor baar hai sham e abul hussain
Saqi suna day sheesha e baghdad ki tapak
Mehki hai boye gul se madaam abul hussain
Boye kabaab sokhta aati hai me kasho
Chilka sharaab chisht se jaam e abul hussain
Gulgoon sehar ko hai sehr soze dil se aankh
Sultan suharwar hai naam abul hussain
Kursi nashen hai naqsh murad unn ke faiz se
Molaye naqsh band hai naam abul hussain
Jis nakhl pak mein hain chayalees dalian
Ik shaakh un mein se hai banam abul hussain
Mastoo(n) ko ae kareem bachaaye khumar se
Taa daur hashar doryh jaam abul hussain
Unke bhallay se lakhoon ghareebon ka hai bhala
Yarab zamana bad bkaam e abul hussain
Mela laga hai shan e maseeha ki deed hai
Murdy jila raha hai khiraam abul hussain
Sargashta mohar o meh hain par ab tak khula nahi
Kis charkh par hai mah tamam abul hussain
Itna pata mila hai ke yeh charkh chanbri
Hai haft paya zeena e baam abul hussain
Zarraa ko mohar, qatra ko darya kere abhi
Gir josh zan ho bakhshish aam abul hussain
Yahya ka sadqa waris e iqbal mand paye
Sajjada e shyokh karaam abul hussain
Inaam le(n) bahhar jinaa(n) tahiniat likhain
Phoolay phalay to nakhl muram abul hussain
Allah hum bhi dekh len shehzada ki bahhar
Sunghay gul e morad masham abul hussain
Aaqa se mere suthray miyan ka huwa hai naam
Is achay suthray se rahay naam abul hussain
Yarab woh chaand jo falak izz o jah par
Har sair mein ho gaam bgaam e abul hussain
Ao tumhe halal siphar sharf deikhein
Gardan jhkayin bahar salam abul hussain
Qudrat khuda ki hai ke talatam kinaa(n) uthi
Behar fanaa se mouj dwam abul hussain
Yarab hamein bhi chaashni is apni yaad ki
Jis se hai shkkare(n) lab o kaam abul hussain
Haan talee raza teri allah ray yavri
Ae banda e jdood karaam e abul hussain