Nazar Ik Chaman Se Dochaar Hai Naat Lyrics
Nazar Ik Chaman Se Dochaar Hai Naat Lyrics
Nazar ik chaman se do chaar hai nah chaman chaman bhi Nisar hai
ajab uss ke Gul ki bahaar hai ke bahar e bulbul e zaar hai
nah dil e bashar hi figaar hai ke Malak bhi us ka shikaar hai
yeh jahan ke hazda hazaar hai jisay dekho is ka hazaar hai
nahi sar ke sajda kunaa(n) nah ho nah zaba(n) ke zamzamah khawa(n) nah ho
nah woh dil ke is pay tapa(n) nah ho nah woh seenah jis ko qarar hai
woh hai bheeni bheeni waha(n) mehak ke basa hai arsh se farsh taq
woh hai pyari pyari waha(n) chamak ke wahan ki shab bhi nahaar hai
koi aur phool kahan khilay nah jagah hai joshish e husn se
nah bahaar aur pay rukh kare ke jhapak palak ki to khaar hai
yeh saman yeh Sosan o Yasman yeh banafasha e sunbal o nastaran
Gul o sar o lala bhara chaman wohi aik jalwa hazaar hai
yeh Saba sank woh kali chatk yeh zaba(n) chahak lab e jo chhalak
yeh mehak jhalak yeh chamak damak sab isi ke dam ki bahhar hai
wohi jalwa shehar bashahr hai wohi asal e aalam o dahar hai
wohi behr hai wohi lehar hai wohi paat hai wohi dhaar hai
woh nah tha to baagh mein kuch nah tha woh nah ho to baagh ho sab fanaa
woh hai jaan, jaan se hai baqa wohi ban hai ban se hi baar hai
yeh adab ke bulbul e benawa kabhi khul ke kar nah sakay nawa
nah Saba ko tez rawish rawana chalakti nehro(n) ki dhaar hai
be adab jhukalo sar e wila ke mei(n) naam lu(n) Gul o baagh ka
gul e tar Muhammad e Mustafa chaman un ka pak deyaar hai
wohi aankhh unn ka jo munh takay wohi lab ke mehw hoo(n) naat ke
wohi sar jo unn ke liye jhuke wohi dil jo unn pay Nisar hai
yeh kisi ka husn hai jalwa gar ke tapaa(n) hain khoboo(n) ke dil jigar
nahi chaak jaib e gul o sehar ke qamar bhi seenah figaar hai
wohi nazr e sheh mein zar e niko jo ho unn ke ishhq mein zard roo
gul e Khuld us se ho rang jo yeh khizaa(n) woh taaza bahaar hai
jisay teri saff e ni’aal se miley do niwale nawal se
woh bana ke is ke ugaal se bhari saltanat ka udhaar hai
woh uthei(n) chamak ke tajaliya(n) ke mita de(n) sab ki ta’illiyaa(n)
dil o jaa(n) ko Bakhsheen tasalliya(n) tera noor bar e do haar hai
Rusul o Malak pay duroood ho wohi jaanay unn ke shumaar ko
magar aik aisa dikha to do jo Shaf’ee e roz e shumaar hai
nah hijaab charkh o maseeh par nah kaleem o tor nihaa(n) magar
jo gaya hai arsh se bhi udhar woh Arab ka naqa sawaar hai
woh teri tajalli dil nashee(n) ke jhalak rahay hai(n) fallak zamee(n)
tere sadqy mere mah e mubee(n) meri raat kyu(n) abhi taar hai
meri zulmatei(n) hain sitam magar tera mah nah mehar ke mehar gar
agar aik cheent pare idhar shab e daaj abhi to nahar hai
gunah e Raza ka hisaab kya woh agarchay lakhoo(n) se hain siwa
magar ae afuww tre ufw ka nah hisaab hai nah shumaar hai
tere deen e pak ki woh zia ke chamak uthi rah e Istifaa
jo na manay aap saqar gaya kahi(n) noor hai kahi(n) naar hai
koi jaan bas ke mehak rahi kisi dil mein us se khatak rahi
nahi is ke jalwey mei(n) yak rahi kahi(n) phool hai kahin khaar hai
woh jisay Wahabiya nay diya hai laqab Shaheed o Zabeeh ka
woh shaheed e laila najd tha woh zabeeh tegh khayar hai
yeh hai dee(n) ki taqwiyyat uss ke ghar yeh hai mustaqeem siraat e shar
jo shaqee ke dil mein hai gayo khar to zuba(n) pay chorhaa chamaar hai
woh habib pyara to Umar bhar kere faiz o jood hi sar basar
arrey tujh ko khaye tap e saqar tere dil mei(n) kis se bukhaar hai
woh Raza ke nezah ki maar hai ke aduww ke seenay mei(n) ghaar hai
kisay charah joi ka waar hai ke yeh waar waar se paar hai