Naat Lyrics

Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics

Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics

Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics

Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoon Madinay ki hazri ke liye

Taiba ke janay walay ja kar barey adab se
Mera bhi qissa e gham kehna shah e Arab se
Kehna ke shah e Aalam ik ranj o gham ka maara
Dono jahan main jiska hain aap hi sahara
Halaat e pur alam se is dam guzar raha hai
Aur kanpte labo(n) se faryaad kar raha hai

Baar e gunah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aisa jo puchne ko aaye
Bhula hua musafir manzil ko dhondta hai
Tareekiyo(n) main maah e kamil ko dhondta hai
Seenay main hai andhera dil hai siyah khaana
Yeh hai meri kahani Sarkar ko sunana
Kehna mere Nabi se mehroom hoon khushi se
Sar par ik abr e gham hai ashko(n) se aankh nam hai

Pamaal e zindagi hoon
Sarkar ummati hoon
Ummat ke rehnuma ho
Kuch arz e haal sun lo

Faryad kar raha hoon main dil figaar kab se
Mera bhi qissa e gham kehna shah e Arab se

Huzoor aisa koi intizaam hojaye
Salam ke liye haazir ghulam hojaye
Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoon Madinay ki hazri ke liye

Mera dil tarap raha hai mera jal raha hai seena
Ke dawa wahin milegi mujhe le chalo Madina
Nahi maal o zar to kya hai main ghareeb hoon yahi na
Mere ishq mujhko le chal tu hi jaanib e Madina

Aaqa na toot jaye ye dil ka aabgeena
Ab ke baras bhi Maula reh jaun main kahin na
Dil ro raha hai jin ka aanso chalak rahay hain
Un aashiqo(n) ka sadqa bulwaiye Madina

Madinay jaon phir aaon dobara phir jaon
Ye zindagi meri yun hi tamam hojaye
Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoon Madinay ki hazri ke liye

Ae aazim e Madina jaakar Nabi se kehna
Soz e gham e alam se ab jal raha hai seena
Kehna ke barr rahi hai ab dil ki iztirabi
Qadmo(n) se door hoon main qismat ki hai kharabi
Kehna ke dil main mere armaa(n) bhare hue hain
Kehna ke hasrato(n) ke nashtar chubhe hue hain
Hai aarzo ye dil ki main bhi Madinay jaun
Sultan e do Jahan ko daag e jigar dikhaun
Kaatu(n) hazar chakkar Taiba ki har gali ke
Yun hi guzar doon main ayyam zindagi ke

Phoolon pe jaan nisaru(n)
Kanto pe dil ko waaru(n)
Zarro(n) ko dun salami
Dar ki karun ghulami
Deewar o Dar ko chumu(n)
Chokhat pe sark o rakh du(n)

Rozay ko dekh kar main rota rahun barabar
Aalam ke dil main hai ye hasrat na jane kab se
Mera bhi qissa e gham kehna shah e Arab se
Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoon Madinay ki hazri ke liye

Ik roz hoga jana Sarkar ki gali main
Hoga wahin thikana Sarkar ki gali main
Dil main Nabi ki yadain lab par Nabi ki naatein
Jana to aise jana Sarkar ki gali main

Ya Mustafa khudara do izn hazri ka
Karlun nazara aakar main apki gali ka
Ik baar to dikha do ramzan main Madina
Is baar to dikha do ramzan main Madina
Aaqa humein dikha do ramzan main Madina
Beshak bana lo Aaqa mehman do gahri ka

Naseeb walon main mera bhi naam hojaye
Jo zindagi ki Madinay main sham hojaye
Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoon Madinay ki hazri ke liye

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button