Phir Ke Gali Gali Tabah Thokaren Sab Ki Khaye Kyun Naat Lyrics
Phir Ke Gali Gali Tabah Thokaren Sab Ki Khaye Kyun Naat Lyrics
Phir ke gali gali tabah thokaren sab ki khaye kyun
Dil ko jo aqal day kkhuda teri gali se jaye kyun
Rukhsat qaafla ka shore ghash se hamein uthaiye kyun
Sotay hain unn ke saya mein koi hamein jagaaye kyun
Baar nah they habib ko paltay hi ghareeb ko
Royain jo ab naseeb ko chain kaho ga(n)waye kyun
Yaad e huzoor ki qisam ghaflat aish hai sitam
Khob hain qid e gham mein hum koi hamein churaye kyun
Dekh ke hazrat e ghanni phail parre faqeer bhi
Chhai hai ab to chaoni hashar hi aanah jaye kyun
Jaan hai ishq e mustafa roz fazoo(n) kare khuda
Jis ko ho dard ke maza naz dawa uthaiye kyun
Hum to hain aap dil figaar gham mein hansi hai nagawaar
Chairr ke gul ko nobahar khoon hamein rulay kyun
Ya to yun hi tarap ke jayen ya wohi daam se chhurraayen
Minnat ghair kyun uthain koi taras jitye kyun
Unn ke jalal ka asr dil se lagaye hai qamar
Jo ke ho lout zakham par daagh jigar mitaye kyun
Khush rahay gul se andaleeb khaar haram mujhe naseeb
Meri bulaa bhi zikr par phool ke khaar khaye kyun
Gard e malaal agar dhullay dil ki kalie agar khulay
Barq-e se aankh kyun jalay ronay pay muskuraye kyun
Jaan-e safar naseeb ko kis naay kaha mazay se so
Khatka agar sehar ka ho shaam se mout aaye kyun
Ab to nah rokkk ae ghanni aadat sagh baggar gayi
Mere kareem pehlay hi luqmah tar khilaye kyun
Raah e nabi mein kya kami farsh-e beaaz deedaa ki
Chadar zal hai malgji zair e qadam bichaya kyun
Sang e dar e huzoor se hum ko kkhuda nah sabar day
Jana hai sir ko ja chuke dil ko qarar aaye kyun
Hai to raza nira sitam jurm pay gir lijae(n) hum
Koi bajaye soze gham saaz tarb bajaye kyun