Nah Arsh e Aiman Na Inni Zahibun Mein Mehmaani Hai Naat Lyrics
Nah Arsh e Aiman Na Inni Zahibun Mein Mehmaani Hai Naat Lyrics
Nah arsh e aiman na inni zahibun mei(n) mehmaani hai
Nah lutaf udnu ya ahmad naseeb lan taraani hai
Naseeb e dostaa(n) gir unn ke dar par mout aani hai
Khuda yu(n) hi kere phir to hamesha zindagani hai
Usi dar par tarapty hain machaltay hain bilaktey hain
Uttha jata nahi kya khoob apni natwani hai
Har ik deewar o dar par mohar ne ki hai jabee(n) sai
Nigaar e masjid aqdas mein kab sonay ka pani hai
Tere mangta ki khamooshi shafaat khuwa hai uss ki
Zaban e be zabani tarjuman e khasta jani hai
Khule kya raaz e mehboob o muhib mastaan e ghaflat par
Sharaab e qadra’aal haq zaib e jaam e man ra’aani hai
Jaha(n) ki khakrobi ne chaman aara kya tujh ko
Saba hum ne bhi unn galiyo(n) ki kuch din khaak chaani hai
Shaha kya zaat teri haq numa hai fard e amkaa(n) mei(n)
Ke tujh se koi awwal hai nah tera koi saani hai
Kahan is ko shak e jaan e janaa(n) mein zar ki naqashi
Erum ke taer e rang e irum ki nishani hai
Ziyabu fee ciyabin lab pay kalma dil mein gustaakhi
Salam islam mulhid ko ke tasleem e zabani hai
Yeh aksar sath unn ke shana o maswaak ka rehna
Batata hai ke dil reshon pay zaied meharbani hai
Isi sarkar se duniya o dee(n) mlitay hain sayel ko
Yahi darbaar e aali kanz aamaal o amaani hai
Duroode(n) surat e haala muheet e mahe taiba hain
Barasta ummat aasi pay ab rehmat ka pani hai
Taala allah istaghna tere dar ke gadaao(n) ka
Ke un ko aar fir o shaukat sahib qrani hai
Woh sargaram e shafa’at hain arq afshaa(n) hai peshani
Karam ka itar sandal ki zamee rehmat ki ghaani hai
Yeh sir ho aur woh khak e dar woh khak e dar ho aur yeh sir
Raza woh bhi agar chahain to ab dil mein yeh thaani hai