Naat Lyrics

Kya Hi Zouq Afzaa Shafa’at Hai Tumhari Wah Wah Naat Lyrics

Kya Hi Zouq Afzaa Shafa’at Hai Tumhari Wah Wah Naat Lyrics

Kya Hi Zouq Afzaa Shafa'at Hai Tumhari Wah Wah Naat Lyrics

 

Kya hi zouq afzaa shafa’at hai tumharee wah wah

Karz laite hai guneh parhaiz gari wah wah

Khaama e qudrat ka husn e dast kaari wah wah

Kya hi tasweer apne pyare ki sanwari wah wah

Ashk shab bhar intzaar afw e ummat mein bahein

Mein fida chaand aur yun akhtar shumari wah wah

Ungliyan hain faiz par tootay hain piyasay jhoom kar

Nadyaan panjaab e rehmat ki hain jari wah wah

Noor ki khairaat lainay dortay hain mohar o mah

Uthtee hai kis shaan se gard e sawari wah wah

Name jalwey ki nah taab aaye qamar saan to sahi

Mohar aur un talwon ki aaina daari wah wah

Nafs yeh kya zulm hai jab dekho taaza jurm hai

Naatvaan ke sir par itna boojh bhaari wah wah

Mujrimo(n) ko dhoondti phirti hai rehmat ki nigah

Taali’e bargashmteh teri saazgaari wah wah

Arz begi hai shafaat afoo ki sarkar mein

Chnt rahi hai mujrimo(n) ki fard saari wah wah

Kya madinah se saba aayi ke phoolon mein hai aaj

Kuch nai bu bheeni bheeni pyari pyari wah wah

Khud rahay parday mein aur aaina aks khaas ka

Bhaij kar anjanon se ki raah daari wah wah

Iss taraf roza ka noor uss samt minbar ki bahhar

Beech mein jannat ki pyari pyari kiyari wah wah

Sadqy is inaam ke qurbaan is ikram ke

Ho rahi hai dono aalam mein tumharee “wah wah”

Paara e dil bhi nah nikla dil se tohfay mein raza

Unn sgaan e ko se itni jaan pyari wah wah

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button