Hirz e Jaan Zikr e Shafaat Keejiye Naat Lyrics
Hirz e Jaan Zikr e Shafaat Keejiye Naat Lyrics
Hirz e jaa(n) zikar shafaat keejiye
Naar se bachney ki soorat keejiye
Unn ke naqsh e pa pay ghairat keejiye
Aankh se chuup kar ziyarat keejiye
Unn ke husn e ba malahat par nisar
Shera e jaa(n) ki halawat keejiye
Unn ke dar par jaisay ho mit jaiyen
Naatwaano(n)! Kuch to himmt keejiye
Phair deejiay panja e dev e la’ee(n)
Mustafa ke bal pay taaqat keejiye
Doob kar yaad e lab e shadaab mein
Aab e kausar ki sabahat keejiye
Yaad e qaamat karte uthiye qabar se
Jaan e mehashar par qayamat keejiye
Unn ke dar par bethiye ban kar faqeer
Be nawaao fikr e sarwat keejiye
Jis ka husn allah ko bhi bha gaya
Aisay pyare se mohabbat keejiye
Hi baqi jis ki karta hai sana
Martay dam tak us ki midhat keejiye
Arsh par jis ki kamanain charh gayeen
Sadqy is baazu pay quwwat keejiye
Neem waa tayyeba ke phoolon par ho aankh
Bulbuloo! Paas e nazakat keejiye
Sar se girta hai abhi bar e gunah
Kham zara farq e iradat keejiye
Aankh to uthtee nahi kya den jawab
Hum pay be pursish hi rehmat keejiye
Uzr badtar az guneh ka zikr kya
Be sabab hum par inayat keejiye
Naara kijye ya rasool allah ka
Muflisoo! Saman e doulat keejiye
Hum tumahray ho ke kis ke paas jayen
Sadqa shehzado(n) ka rehmat keejiye
Man ra’ani qad ra’al haqq jo kahe
Kya baya(n) us ki haqeeqat keejiye
Aalim e ilm do saalam hain huzoor
Aap se kya arz haajat keejiye
Aap sultan e jahan hum be nawa
Yaad hum ko waqt nemat keejiye
Tujh se kya kya ae mere taiba ke chaand
Zulmat e gham ki shikayat keejiye
Dar badar kab taq phiren khasta kharab
Taiba mein madfan inayat keejiye
Har baras woh qaflon ki dhoom dhaam
Aah suniye aur ghaflat keejiye
Phir palat kar munh nah uss janib kya
Sach hai aur da’waaye ulfat keejiye
Uqarba hubb e watan be himmati
Aah kis kis ki shikayat keejiye
Ab to aaqa munh dikhaane ka nahi
Kis terhan raf’a e nidamat keejiye
Apne hathon khud luta baithy hain ghar
Kis pay da’waaey bazaa’at keejiye
Kis se kahiye kya kiya kya ho gaya
Khud hi apne par malamat keejiye
Arz ka bhi ab to munh parta nahi
Kya ilaaj e dard e furqat keejiye
Apni ik meethi nazar ke shehad se
Chara e zehr e museebat keejiye
Day khuda himmat ke yeh jaan e hazee(n)
Aap par waare(n) woh soorat keejiye
Aap hum se barh ke hum par mehrbaa(n)
Hum karen jurm aap rehmat keejiye
Jo nah bhola hum ghareebo(n) ko raza
Yaad uss ki apni aadat keejiye