Bhar Do Jholi Meri Lyrics
Bhar Do Jholi Meri Naat Lyrics
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Tumhare aastaney se zamaana kiya nahi pata
Koi bhi dar se khaali maangnay wala nahi jata
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Tum zamaane ke mukhtaar ho Ya Nabi
Bekasoo(n) ke madadgaar ho Ya Nabi
Sab ki suntey ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebo(n) ke gham khaar ho Ya Nabi
Bhar do jholi meri Sarkar e Madina
Laut kar mai na jaunga khaali
Hum hain ranj o museebat ke maaray hue
Sakht mushkil mein hain gham se haaray hue
Ya Nabi kuch khudara humein bheek do
Dar pe aaye hain jholi pasaaray hue
Bhar do jholi meri Tajdar e Madina
Laut kar mai na jaunga khaali
Hai mukhalif zamana kidhar jayen hum
Halat e bekasi kis ko dikhlaen hum
Hum tumhare bhikari hain Ya Mustafa
Kiske aagay bhalaa hath phelaae(n) hum
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Kuch nawasoo(n) ka sadqa ata ho
Dar pe aaya hun ban kar sawaali
Haq se paai wo shaan e kareemi
Marhaba dono aalam ke waali
Uski qismat ka chamka sitara
Jispe nazr e karam tumne daali
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Zindagi baksh di bandagiko
Aabro deen e haq ki bachali
Wo Muhammad ka piyara nawasa
Jis ne sajde mein gardan katali
Jo ibn e Murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbani e Hussain ka anjaam khoob hai
Qurban hoke Fatma Zahra ke chain ne
Deen e Khuda ki shaan barhaai Hussain ne
Bakhshi hai jis ne mazhab e Islam ko hayaat
Kitni azeem Hazrat e Shabbir ki hai zaat
Maidaan e Karbala main shah e khushksaal ne
Sajde mein sar kata ke Muhammad ke laal ne
Zindagi baksh di bandagi ko
Aabro deen e haq ki bachali
Wo Muhammad ka piyara nawasa
Jis ne sajde mein gardan katali
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Hashr main unko dekhengy jis dam
Ummati ye kahengy khushi say
Aarahe hain wo dekho Muhammad
Jinke kandhe pe kamli hai kaali
Sar e Mehshar gunahgaaro(n) se pursish jis ghari hogi
Yaqeenan har bashar ko apni bakhshish ki pari hogi
Sabhi ko aas us dam kamli walay se lagi hogi
Ke aese mai Muhammad ki sawaari aa rahi hogi
Pukaaray ga zamana us ghari dukh dard ke maaro
Na ghabraao gunahgaaro, Na ghabraao gunahgaaro
Aa rahe hain wo dekho Muhammad
Jinke kandhe pe kamli hai kaali
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Aashiq e Mustafa ki aza(n) mai
Allah Allah kitna asar tha
Sacha ye waqia hai azan e Bilal ka
Ik din Rasool e paak se logo ne yun kaha
Ya Mustafa azaan ghalat dete hain Bilal
Kahiye huzoor apka isme hai kiya khayal
Farmaya Mustafa ne ye sach hai to dekhiye
Waqt e sahar ki aaj aza(n) aur koi day
Hazrat Bilal ne jo azaan e sahar na di
Qudrat khuda ki dekho na mutlaq sahar hui
Aaye Nabi ke paas phir ashaab e ba-safa
Ki arz Mustafa se ke Ya Shah e Ambiya
Hai kya sabab sahar na hui aaj Mustafa
Jibreel laye aese main pegham e kibriya
Pehle to Mustafa ko adab se kiya Salam
Badaz Salam unko Khuda ka diya payam
Yun Jibrael ne kaha khair ul anam se
Allah ko hai pyar tumhare ghulam se
Farma raha hai aap se ye Rabb e zuljalal
Hogi na subha dengy na jab tak aza(n) bilal
Aashiq e Mustafa ki aza(n) mai
Allah Allah kitna asar tha
Arsh wale bhi suntay thay jisko
Kya aza(n) thi azaan e Bilali
Kaash purnam dayar e Nabi main
Jeetay jee ho bulawa kisi din
Haal e gham Mustafa ko sunaao(n)
Thaam kar unke roze ki jaali
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khaali
MashAllah Beautiful kalam Bhar do jholi meri Ya Muhammad