Wasf Rukh Un Ka Kya Karte Hain Sharh e Wash-Shams o Duha Karte Hain Lyrics
Wasf Rukh Un Ka Kya Karte Hain Sharh e Wash-Shams o Duha Karte Hain Lyrics
Wasf rukh unn ka kya karte hain sharh e wash-shams o duha karte hain
Unn ki hum madh o sana karte hain jin ko mahmood kaha karte hain
Mah e shaqq gashmta ki soorat dekho kanp kar mohar ki rajat dekho
Mustafa pyare ki qudrat dekho kaisay eijaaz huwa karte hain
Too hai khurshid risalat pyare chup gaye teri zia mein tarre
Anabia aur hain sab meh paaray tujh se hi noor liya karte hain
Ae balaabay khirdi kuffar rakhtay hain aisay ke haq mein inkar
Ke gawahi ho gir uss ko darkaar be zuba bol uttah karte hain
Apne moola ki hai bas shaan azeem janwar bhi karen jin ki tazeem
Sang karte hain adab se tasleem pairr sjday mein gira karte hain
Riffat zikr hai tera hissa dono aalam mein hai tera charcha
Murgh e firdous pas az hamd khuda teri hi madh o sana karte hain
Ungliyan payen woh pyari pyari jin se dareaye karam hain jari
Josh par aati hai jab gham khawari tashnay sairaab huwa karte hain
Haan yahin karti hain chiriyaan faryaad haan yahin chahti hai hirni daad
Isi dar par shatraan e naashad gla e ranj o enna karte hain
Aastee(n) rehmat aalam ultay kamr e pak pay daman bandhay
Girnay walon ko chae dozakh se saaf allag khech liya karte hain
Jab saba aati hai tayyiba se idher khilkhila padtee hain kaliyan yaksar
Phool jama se nikal kar bahar rukh e rngin ki sana karte hain
Too hai woh baadshah kon o makan ke malik haft fallak ke har aa(n)
Tairay moola se shah e arsh aywan teri doulat ki duaa karte hain
Jis ke jalwey se ahad hai taban madan noor hai is ka daman
Hum bhi is chaand pay ho kar qurban dil e sangee(n) ki jila karte hain
Kyun nah zaiba ho tujay taa jori tairay hi dam ki hai sab jalva giri
Malik o jin o bashar hoor o pari jaan sab tujh pay fida karte hain
Toot padtee hain bulayen jin par jin ko milta nahi koi yawar
Har taraf se woh pur arman phir kar unn ke daman mein chhupa karte hain
Lab par ajatha hai jab naam janab mnh mein ghul jata hai shehad nayaab
Wajad mein ho ke hum ae jaan betaab apne lab chuum liya karte hain
Lab pay kis mun se gham e ulfat layein kya bulaa dil hai alum jis ka sunaein
Hum to un ke kaf e pa par mit jayen unn ke darpar jo mita karte hain
Apne dil ka hai unhen se aaraam sonpe hain apne unhen ko sab kaam
Lo lagi hai ke ab is dar ke ghulam chara e dard e raza karte hain