Naat Lyrics

Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Lyrics

Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Lyrics

Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Lyrics

Koi saliqa hai aarzo ka
Na bandagi meri bandagi hai
Ye sab tumhara karam hai Aaqa
Kay baat ab tak bani hui hai

Ata kiya mujh ko dard e ulfat
Kahan thi yeh pur khata ki qismat
Mein is karam ke kahan tha qaabil
Huzoor ki banda parwari hai

Tajjaliyo(n) ke kafeel tum ho
Murad e qalb e Khalil tum ho
Khuda ki roshan daleel tum ho
Ye sub tumhari hi roshni hai

Kisi ka ehsan kyun uthaen
Kisi ko halaat kyun bataen
Tum hi se mangengy tum hi do gy
Tumhare hi dar se lau lagi hai

Amal ki mere asaas kiya hai
Bajuz nadamat ke paas kiyahai
Rahe salamat bas aap ki nisbat
Mera to bas aasra yehi hai

Basheer kahiye Nazeer kahiye
Inhe(n) Siraaj e Muneer kahiye
Jo sar basar hai kalaam e Rabbi
Wo mere Aaqa ki zindagi hai

Yehi hai Khalid asaas e Rehmat
Yehi hai Khalid bina e azmat
Nabi ka irfan bandagi hai
Nabi ka irfan zindagi hai

Ye sab tumhara karam hai Aaqa
Kay baat ab tak bani hui hai
Ye sab tumhara karam hai Aaqa
Kay baat ab tak bani hui hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button