Naat Lyrics

Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada Lyrics

Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada Lyrics

Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada Lyrics

Be bandagi urooj kiya banda kardiya
Tara mere naseeb ka tabinda kardiya
Kitni bari Huzoor ki banda nawazia(n)
Mujh ko mere sawal ne sharminda kardiya

Is karam ka karoon shukar kaise ada
Jo karam mujhpe mere Nabi kardiya
Main sajata tha Sarkaar ki mehfile(n)
Mujhko har gham se Rab ne bari kardiya

Gham e Aashiqui se pehle Mujhe kon janta tha
Mohabbat e Mustafa se pehle mein kuch nahi tha mein kuch nahi tha
Karam ki is intihaa se pehle main kuch nahi tha mein kuch nahi tha
Tere karam ka tasadduq teri ata ka nisaar
Mein kya tha aur mujhe kiya bana diya tune

Gham e Aashiqui se pehle Mujhe kon janta tha
Teri zaat ne banadi Meri zindagi fasaana
Main Shukar kaise ada Is karam ka karoon
Shukar kaise ada Is karam ka karoon

Ata kiya mujh ko dard e ulfat
Kahan thi ye pur khata ki qismat
Main is karam ke kahan tha qabil
Huzoor ki banda parwari hai
Shukar kaise ada Is karam ka karoon
Shukar kaise ada Is karam kakaroon

Ban gayi baat unka karam ho gaya
Shaakh e nasl e tamanna hari hogayi
Mere lab pe Muhammad ka naam aa gaya
Baithe baithe meri haazri hogayi
Shukar kaise ada Is karam ka karoon
Shukar kaise ada Is karam ka karoon

Khaliq ne mujh ko meri talab se sila diya
Sarmaya dar e ishq e Muhammad bana diya
Shukar kaise ada Is karam ka karoon shukr kaise ada
Jo karam mujh pe mere Nabi kardiya
Main sajata tha Sarkar ki mehfile(n)
Mujhko har gham se Rab ne bari kardiya

Jab liya naam e Nabi main ne Dua se pehle
Hogayi mujhpe ata meri khata se pehle

Muhammad Mustafa ka naam bhi kya ism e azam hai
Jahaan koi na kaam aye wahaan ye kaam ata hai

Zikr e Sarkar ki hain bari barkatein
Mil gaie(n) Rahatei(n) Azmatei(n) Ruf’atei(n)
Main gunahgaar tha be amal tha magar
Mustafa ne mujhe Jannati kardiya

Kamli wale ke karam ki baat hai
Warna mujh mangte ki kya auqaat hai
Jitna diya Sarkar ne mujhko
Utni meri auqaat nahi hai
Ye to karam hai unka warna
Mujh mein to koi baat nahi hai

Lamha lamha hai mujh par Nabi ki ata
Doston aur mangu(n) main Maula se kiya
Kya ye kam hai ke mere khuda ne mujhe
Apne Mehboob ka ummati kardiya

Galay main touq e Burhaani hai shah e Bat-ha ka
Bhala ye kam hai nishaan mujh se be nishaa(n) ke liye
Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala

Apni qismat pe kyun na naaz karun
Log kehte hai ghulam e shah e Bat-ha mujh ko
Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala

Mujhe mil gayi dono aalam ki shaahi
Mera unke mangtoo(n) mein naam aa gaya hai
Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala

Manam adna sana khwan e Muhammad
Ghulm e az ghulaman e Muhammad
Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala

Bas inko safa kasht bechara janoo(n)
Ghulam e ghulaman e Aal e Muhammad
Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala

Jo dar e Muhammad ke gada hogaye
Dekhte dekhte kya se kya hogaye
Aise chashm e karam ki hai Sarkar ne
Dono aalam main unko ghani kardiya

Koi mayoos lota na darbar se
Jo bhi manga mila mere Sarkar se
Sadqe jaoon Niazi main lajpal ke
Har gada ko sakhi ne sakhi kardiya

Is karam ka karoon shukar kaise ada
Jo karam mujhpe mere Nabi kardiya

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button