Tu Hai Woh Ghous Ke Har Ghous Hai Sheeda Tera Lyrics
Tu Hai Woh Ghous Ke Har Ghous Hai Sheeda Tera Lyrics
Tu hai woh ghaus ke har ghaus hai shaida tera
Tu hai woh ghais ke har ghais hai piyasa tera
Suraj aglo ke chamktey they chamak kar doobe
Ufq noor pay hai mohar hamesha tera
Murgh boltay hain bol ke chup rehtay hain
Haan aseel aik nawa sanj rahay ga tera
Jo walii qabal they ya baad hue ya hon ge
Sab adab rakhtay hain dil mein mِre aaqa tera
Baqasam kehte hain shahan e sareefeen o harim
Ke howa hai nah walii ho koi hamta tera
Tujh se aur deher ke aqtaab se nisbat kaisi
Qutub khud kon hai khadim tera cheela tera
Saaray aqtaab jahan karte hain kaaba ka tuwaf
Kaaba karta hai tuwaf dar-e wala tera
Aur parwanay hain jo hotay hain kaaba pay nisar
Shama ik too hai ke parwana hai kaaba tera
Shjr saro sahi kis ke ugaye tairay
Maarfat phool sahi kis ka khilaya tera
Tu hai noshah brati hai yeh sara gullzaar
Layi hai fasal saman goondh ke sehra tera
Dalian jhoomti hain raqs khushi josh pay hai
Blblin jhoolti hain gaati hain sehra tera
Geet kaliyon ki chatak gazalain hazaron ki chahek
Baagh ke sazoon mein bjta hai tarana tera
Sfِ har shajrah mein hoti hai salami teri
Shaakhen jُhk jُhk ke baja latayen hain mjra tera
Kis gulisitan ko nahi fasal bahari se niaz
Kon se silsila mein faiz nah aaya tera
Nahi kis chaand ki manzil mein tera jalwa e noor
Nahi kis aaina ke ghar mein ujala tera
Raaj kis shehar mein karte nahi tairay khudam
Baaj kis neher se laita nahi darya tera
Mazra e chisht o bukhara o iraq o ajmeer
Kon si kasht pay barsa nahi jhala tera
Aur mehboob hain, haan par sabhi yaksaa to nahi
Yun to mehboob hai har chahanay wala tera
Is ko so fard saraapaa bafaraghat avrhhin
Tang ho kar jo aُtrne ko ho neema tera
Gardanein jhuk gayeen sir biich gaye dil lout gaye
Kashaf e saaq aaj kahan yeh to qadam tha tera
Taaj farq e arfa kis ke qadam ko kahye !
Sir jisay baaj den woh paaon hai kis ka tera
Sakar ke josh mein jo hain woh tujy kya jaanen
Khizar ke hosh se pouchye koi rutba tera
Aadmi –apne hi ahwaal pay karta hai qiyaas
Nashay walon ney bhala sakar nikala tera
Woh to chhota hi kaha chahain ke hain zair-e hazeez
Aur har awj se ooncha hai sitara tera
Dil e aada ko raza taiz namak ki dُhn hai
Ik zara aur chhrhkta rahay khamah tera