Sar Taa Baqadam Hai Tan e Sultan e Zaman Phool Naat with Lyrics
Sar Taa Baqadam Hai Tan e Sultan e Zaman Phool Naat with Lyrics
Sar taa baqadam hai tan sultan zaman phool
Lab phool dahan phool zaqan phool badan phool
Sadqy mein tre baagh to kya laaye hain’ ‘ ban’ ‘ phool
Iss ghuncha e dil ko bhi to aima ho ke ban phool
Tinka bhi hamaray to hlaye nahi hilta
Tum chaho to ho jaye abhi koh e mehn phool
Wallah jo mil jaye mere gul ka paseena
Mangey nah kabhi itar nah phir chahay dhulhan phool
Dil basta o khoo gashta nah khushbu nah latafat
Kyun ghuncha kahoon hai mere aaqa ka dahan phool
Shab yaad thi kin danton ki shabnam ke dam subah
Shokhaan e bahari ke juraao hain kiran phool
Dandan o lab o zulff o rukh e sheh ke fadai
Hain dar aden , laal yemen , mushk khitan phool
Bo ho ke nihaan ho gaye taab rukh e sheh mein
Lo ban gaye hain ab to haseenon ka dahan phool
Hon bari gunh se nah khajil dosh e azeeza(n)
Allah meri na’ash kar ae jaan-e chaman phool
Dil apna bhi shedai hai is naakhun pa ka
Itna bhi meh no pay nah ae charkh kuhn! Phool
Dil khol ke khoo row le gham e aariz sheh mein
Niklay to kahin hasrat-e khoo nabah shudn phool
Kya ghazah mila gard e madinah ka jo hai aaj
Nikhre hue jo ban mein qayamat ki phaban phool
Garmi yeh qayamat hai ke kantay hain zuba par
Bulbul ko bhi ae saqi e sehba o laban phool
Hai kon ke giryaa kere ya fatiha ko aaye
Bekus ke uthaiye teri rehmat ke bharan phool
Dil gham tujhy ghairay hain khuda tujh ko woh chmkaye
Sooraj tre khirmen ko banay teri kiran phool
Kya baat raza uss chamanistaan karam ki
Zohra hai kalie jis mein hussain aur hasan phool