Paat Woh Kuch Dhaar Yeh Kuch Zaar Hum Naat with Lyrics
Paat Woh Kuch Dhaar Yeh Kuch Zaar Hum Naat with Lyrics
Paat woh kuch dhaar yeh kuch zaar hum
Yaa ilahi kyun kar utrain paar hum
Kis bulaa ki me se hain sarshar hum
Din dhala hotay nahi hushyar hum
Tum karam se mushtari har aib ke
Jins namqbol har bazaar hum
Dushmanon ki aankhh mein bhi phool tum
Doston ki bhi nazar mein khaar hum
Laghzish pa ka sahara aik tum
Girnay walay lakhoon na hanjaar hum
Sadqa apne bazuon ka almadad
Kaisay toreen yeh buut pandar hum
Dam qadam ki kher ae jaan e maseeh
Dar pay laaye hain dil e bemaar hum
Apni rehmat ki taraf dekhen huzoor
Jantay hain jaisay hain badkaar hum
Apne mehmanon ka sadqa aik boond
Mar mite piyasay idhar sarkar hum
Apne koocha se nikala to nah do
Hain to had bhar ke khudai khawar hum
Haath uttha kar aik tukraa ae kareem
Hain sakhi ke maal mein haqdaar hum
Chandni chatki hai unn ke noor ki
Ao dekhen sair tor o naar hum
Himmat ae zeaf un ke dar par gِr ke hon
Be takalouf saya e deewar hum
Ba ataa tum shah tum mukhtaar tum
Be nawa hum zaar hum nachar hum
Tum ne to lakhoon ko jaanen phair den
Aisa kitna rakhtay hain azaar hum
Apni satari ka yarab vaastaa
Hon nah raswa bar sar e darbaar hum
Itni arz e aakhri keh do koi
Naao tooti aa parre manjhdhar hum
Mooh bhi dekha hai kisi ke afoo ka
Dekh o isyaa(n) nahi be yaar hum
Mein nisar aisa musalmaan kije
Toar dalain nafs ka zanar hum
Kab se phelaaye hain daman tegh ishhq
Ab to payen zakham daman daar hum
Sunniyat se khatkay sab ki aankhh mein
Phool ho kar ban gaye kya khaar hum
Natwani ka bhala ho ban gaye
Naqash e paye taliban e yaar hum
Dil ke tukre nazr e haazir laaye hain
Ae sagaan e kocha e dildar hum
Qismat sore o hira ki hirs hai
Chahtay hain dil mein gehra ghaar hum
Chasham poshi o karam shan e shma
Kar e ma be baki o israar hum
Fasl e gul sabza saba masti shabab
Choden kis dil se dar-e khumar hum
Maikadah chat’ta hai lillah saakiya
Ab ke saghar se nah hon hushyar hum
Saaqi e tasneem jab taq aa nah jayen
Ae siya masti nah hon hushyar hum
Naazishen karte hain aapas mein malik
Hain ghlaman sheh abrar hum
Lutaf az khud e raftagi yarab naseeb
Hon shaheed jalwa e raftaar hum
Unn ke agay daawa hasti raza
Kya bikay jata hai yeh har baar hum