Naat Lyrics

Nah Aasman Ko Yun Sarkasheeda Hona Tha Lyrics

Nah Aasman Ko Yun Sarkasheeda Hona Tha Lyrics

Nah Aasman Ko Yun Sarkasheeda Hona Tha Lyrics,na asmaan ko yun sarkasheeda hona tha

 

Nah aasman ko yun sarkasheeda hona tha

Huzoor khak e madinah khamida hona tha

Agar gulon ko khizaa na raseeda hona tha

Kinar khaar madinah damida hona tha

Huzoor unn ke khilaf adab thi betabi

Meri umeed! Tujhy armidah hona tha

Nzarah khak madinah ka aur teri aankhh

Nah isqadr bhi qamar shokh deedaa hona tha

Kinar khakِ madinah mein rahtin mltin

Dil e hazeen! Tujhy asshk chakeeda hona tha

Panah daman e dasht haram mein chain aata

Nah sabr dil ko ghazal-e ramida hona tha

Yeh kaisay khilta ke unkay siwa shafi nahi

Abs nah ouron ke agay tapeedah hona tha

Halal kaisay nah bantaa ke mah kaamil ko

Salam abreoey shah mein khamida hona tha

L’aml’anna jahannam tha wadae azali

Nah munkiroon ka abs bad aqeeda hona tha

Naseem kyun nah shamem un ki tayyeba se latayen

Ke subh-e gul ko gireybn dareeda hona tha

Tpkta rang junoo ashq sheh mein har gul se

Rgِ bahar ko nishtar raseedah hona tha

Baja tha arsh pay khakِ mazaar pak ko naz

Ke tujh sa arsh nashen afrida hona tha

Guzarte jaan se ik shore ‘ya habeeb’ ke sath

Fughan ko nala e halaq bureda hona tha

Mere kareem gunh zeher hai magar aakhir

Koi to shehad e shafa’at chashidah hona tha

Jo sang e dar pay jabeen saiyoon mein tha mitna

To meri jaan sharar e jaheedah hona tha

Teri quba ke nah kyun neechay neechay daman hon

Ke khaksaaron se yaan kab kasheeda hona tha

Raza jo dil ko banana tha jalva gah habib

To piyaray qaid khudi se rahida hona tha

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button