Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Mustafa Jaane Rahmat Pe Lakhon Salaam
shama e bazm e hidaayat pay lakhoon Salaam
mehr e charkh e nabuwwat pay roshan durood
gul e bagh e risalat pay lakhoon Salaam
shehryar iram taajdaar e haram
no bahar e Shafaat pay lakhoon Salaam
shab e asraa ke dulha pay daaim durood
noosha e bazm e jannat pay lakhoon Salaam
arsh ki Zaib o zeenat pay Arshi durood
farsh ki taib o nuzhat pay lakhoon Salaam
noore ain latafat pay altaf durood
Zaib o zain e nazafat pay lakhoon Salaam
sarw e qidam maghz e raaz e hikum
Yakkahtaaz e fazeelat pay lakhoon Salaam
nuqta e sirr e wahdat pay yaktaa durood
markaz e daor e kasrat pay lakhoon Salaam
sahib e raj’at e Shams o shaqq ul qamar
naib dast e qudrat pay lakhoon Salaam
jis ke zair e liwa aadam o mann siwa
us sazae siyadat pay lakhoon Salaam

arsh taa farsh hai jis ke zair e nagee(n)
us ki qahir riyasat pay lakhoon Salaam
asl e har bood o Bahbood takhm e wujood
qasim kanz ne’mat pay lakhoon Salaam
fath bab e nabuwwat pay be hadd durood
khatm e daor e risalat pay lakhoon Salaam
sharq anwaar qudrat pay noori durood
fatq e azhaar e qurbat pay lakhoon Salaam
be Saheem o Qaseem o Adeel o Maceel
Johar fard e izzt pay lakhoon Salaam
Sirr e ghaib e hadaayat pay ghaibi durood
itr e jaib e nihayat pay lakhoon Salaam
mah e lahot e khalwat pay lakhoon durood
shah e naasoot e jalwat pay lakhoon Salaam
kanz e har bekas o benawa par durood
hirz e har rafta taaqat pay lakhoon Salaam
partaw e ism e zaat e Ahad par durood
nuskha e jami’iyyat pay lakhoon Salaam
matl’a e har Sa’adat pay As’ad durood
maqta e har siyadat pay lakhoon Salaam

khalq ke daadras sab ke faryaadras
kahaf roz e museebat pay lakhoon Salaam
mujh se bekas ki doulat pay lakhoon durood
mujh se be bas ki quwwat pay lakhoon Salaam
shama bazm e danni ho mein gum kun Anaa
sharh e matan e huwiyyat pay lakhoon Salaam
intihaye doi ibtidaye yaki
Jama e tafreek o kasrat pay lakhoon Salaam
kasrat e baad qillat pay aksar durood
izzat e baad e zillat pay lakhoon Salaam
Rab aala ki Nemat pay aala durood
haq taala ki minnat pay lakhoon Salaam
hum ghareebon ke aaqa pay be hadd durood
hum faqeero ki Sarwat pay lakhoon Salaam
farhat jaan e momin pay be hadd durood
ghaiz qalb e dalaalat pay lakhoon Salaam
Sabab e har sabab muntahaey talab
illat jumla illat pay lakhoon Salaam
masdar mazhariyyat pay azhar durood
mazhar e masdariyyat pay lakhoon Salaam
jis ke jalwey se murjhaye kaliyan khulein
uss gul e pak manbat pay lakhoon Salaam

qad be saya ke saaya e marhamat
zill e mamd o dirafat pay lakhoon Salaam
taairaan e quds jis ki hain qamariyya(n)
us sahi sar o qaamat pay lakhoon Salaam
Wasf jis ka hai aaina e haq numa
is khuda saaz tal’at pay lakhoon Salaam
jis ke agay sar e sarwaraa(n) kham rahen
us sar e taaj Rif’at pay lakhoon Salaam
woh karam ki ghata gaiso e mushk sa
lakka e abr e ra’afat pay lakhoon Salaam
Lailatul Qadr mein Matla’il Fajr haq
maang ki istiqamat pay lakhoon Salaam
lakht lakht e dil e har jigar chaak se
shana karne ki haalat pay lakhoon Salaam
duur o nazdeek ke sunnay walay woh kaan
kaan e laal karamat pay lakhoon Salaam
chashma e mehr mein moj e noore jalal
is rag e haashmiyyat pay lakhoon Salaam
jis ke maathey Shafa’at ka sehra raha
us jabeen saadat pay lakhoon Salaam

jin ke sajday ko meharab e kaaba jhuki
un bhawo(n) ki latafat pay lakhoon Salaam
unn ki aankhon pay woh saya afgan muzah
zulla e qasr e rehmat pay lakhoon Salaam
ashkbaari e muzgaa(n) pay barsay durood
silk e Durr e Shafa’at pay lakhoon Salaam
ma’neay qadra’aa maqsad e mataghaa
nargis e bagh e qudrat pay lakhoon Salaam
jis taraf uth gayi dam mein dam agaya
us nigah e inayat pay lakhoon Salaam
neechi aankhon ki sharam o haya par durood
onchi beeni ki Rif’at pay lakhoon Salaam
jin ke agay chairag e qamar jhilmilaye
un izaaro(n) ki tal’at pay lakhoon Salaam
un ke khad ki suhuulat pay be hadd durood
un ke qad ki rashaqat pay lakhoon Salaam
jis se taareek dil jagmagane lagey
us chamak wali rangat pay lakhoon Salaam
chaand se munh pay Taban darakhshaa(n) durood
namak aagei(n) sabahat pay lakhoon Salaam

shabnam e bagh e haq yani rukh ka Arq
us ki sachhi baraaqat pay lakhoon Salaam
khat ki gard e dahan woh dil aara phaban
sabza e nehr e rehmat pay lakhoon Salaam
resh e khush mu’tadil marham e resh e dil
haala e mah e nudrat pay lakhoon Salaam
patli patli gul e quds ki pattiya(n)
unn labo(n) ki Nazakat pay lakhoon Salaam
woh dahan jis ki har baat wahi kkhuda
chashma e ilm o hikmat pay lakhoon Salaam
jis ke pani se shadaab jaan o jinaa(n)
us dahan ki Tarawat pay lakhoon Salaam
jis se khaari kunvey sheera e jaa(n) banay
us Zulal halawat pay lakhoon Salaam
woh zaba(n) jis ko sab kun ki kunji kahen
us ki nafiz hukoomat pay lakhoon Salaam
us ki pyari fasahat pay be had durood
us ki Dilkash balaghat pay lakhoon Salaam
us ki baton ki lazat pay lakhoon durood
us ke khutbe ki haibat pay lakhoon Salaam

woh dua jis ka joban bahar e qubool
us naseem ijabat pay lakhoon Salaam
jin ke guchay se lachhay jharei(n) noor ke
un sitaron ki nuzhat pay lakhoon Salaam
jis ki taskin se rotay hue hans parrin
us tabassum ki aadat pay lakhoon Salaam
jis mein nehrai(n) hain sherr o shakar ki rawa(n)
us galaay ki nadarat pay lakhoon Salaam
dosh Bar dosh hai jin se shan e Sharaf
aisay shaanon ki Shaukat pay lakhoon Salaam
hajr e aswed Ka’aba e jaan o dil
yani mohar nabuwat pay lakhoon Salaam
roye Aaena e ilm pusht huzoor
pushti qasr e millat pay lakhoon Salaam
haath jis simt utha ghani kar diya
moj e behr e samaahat pay lakhoon Salaam
jis ko bar e do aalm ki parwa nahi
aisay baazu ki qowat pay lakhoon Salaam
Ka’aba e deen o eima(n) ke dono sutoo(n)
Saa’idain e risalat pay lakhoon Salaam

jis ke har khat mein hai moj e noor e karam
is kaff e behr e himmat pay lakhoon Salaam
noor ke chashmay lehrayei(n) darya bahai(n)
unglio(n) ki karamat pay lakhoon Salaam
Eid e mushkil kushai ke chamkay Halal
nakhuno(n) ki bisharat pay lakhoon Salaam
rafa e zikr e jalalat pay arfah durood
sharah sadr e sadarat pay lakhoon Salaam
dil samajh se vira hai magar yu(n) kahoon
ghuncha e raaz e wahdat pay lakhoon Salaam
kul jahan Milk aur jo ki roti ghiza
is shikam ki Qana’at pay lakhoon Salaam
jo ke azm e Shafa’at pay khinch kar bandhi
is kamar ki himayat pay lakhoon Salaam
Anbia teh karen zaano unn ke huzoor
zaano(n) ki wajahat pay lakhoon Salaam
saaq e asal e qadam shakh e nakhl e karam
shama e raah e isaabat pay lakhoon Salaam
khayi quraan ne khak e Guzar ki qisam
is kaf pa ki hurmat pay lakhoon Salaam

jis suhaani ghari chamka taiba ka chaand
us dil afroz saa’at pay lakhoon Salaam
pehlay sajda pay roz e azal se durood
yadgaari ummat pay lakhoon Salaam
zar’e shadaab o har Zar’e pursheer se
barkaat e raza’at pay lakhoon Salaam
bhaieyo(n) ke liye tark pistaa(n) karen
doodh peeto(n) ki nisfat pay lakhoon Salaam
mahd e wala ki qismat pay Sadd haa durood
burj e mah e risalat pay lakhoon Salaam
Allah Allah wo bachpane ki phaban !
us khuda bhaati soorat pay lakhoon Salaam
uthte booton ki Nashw o numa par durood
khultay ghunchoon ki nukhat pay lakhoon Salaam
fazl e pedaishi par hamesha durood
khailnay se karahat pay lakhoon Salaam
Aitelaey jibillat pay Aali durood
aitdaal Tawiyyat pay lakhoon Salaam
be banawat ada par hazaron durood
be takalluf malahat pay lakhoon Salaam

bheenie bheenie mahak par mahakti durood
pyari pyari nafasat pay lakhoon Salaam
meethi meethi ibaarat pay shiree(n) durood
achi achi ishaarat pay lakhoon Salaam
seedhi seedhi rawish par karoroo(n) durood
saadi saadi tabiyat pay lakhoon Salaam
roz e garam o shab e teerah o taar mein
koh o sehraa ki khalwat pay lakhoon Salaam
jis ke ghairay mein hain Anbia o Malak
us Jahangir be’sat pay lakhoon Salaam
andhay sheeshay jhala jhal damaknay lagey
jalwa raizi e dawat pay lakhoon Salaam
lutf baydaari shab pay be hadd durood
aalam e khuwab e raahat pay lakhoon Salaam
khanda e subh e ishrat pay noori durood
girya e abre rehmat pay lakhoon Salaam
narmi khoy leenat pay daaim durood
garmi shan e satwat pay lakhoon Salaam
jis ke agay khinchi gardanei(n) jhuk gayeen
is khuda daad Shaukat pay lakhoon Salaam

kis ko dekha yeh Moosa se pouchye koi
aankhon walon ki himmat pay lakhoon Salaam
gard e mah dast e Anjum mein rakhshan Halal
badr ki dafa’a e zulmat pay lakhoon Salaam
shore taqbeer se thithurti zamee
junbish e jaish e nusrat pay lakhoon Salaam
Na’ra Haaey Dileyraa(n) se ban gunjtey
Ghurrish e koos e Jurrat pay lakhoon Salaam
woh chaqaa chaaq khanjar se aati sada
mustafa teri saolat pay lakhoon Salaam
unn ke agay woh Hamza ki Jaanbaazia(n)
sher e Ghurran e satwat pay lakhoon Salaam
Algharaz un ke har mo pay lakhoon durood
un ki har kho o khaslat pay lakhoon Salaam
un ke har naam o nisbat pay Nami durood
unn ke har waqt o haalat pay lakhoon Salaam
un ke Maula ki unn par Karooro(n) durood
unn ke As-haab o itrat pay lakhoon Salaam
Paarahaaey suhuf ghunchahaaey quds
Ahley bait e nabuwat pay lakhoon Salaam

aab e tatheer se jis mein pouday jamay
us Riaz e najabat pay lakhoon Salaam
khon e Khair-ur-Rusul se hai jin ka khameer
unn ki Bay-los teenat pay lakhoon Salaam
is batool jigar paara e mustafa
hajlaey aaraye iffat pay lakhoon Salaam
jis ka aanchal na dekha mah o mehar ne
is ridaye nazahat pay lakhoon Salaam
Satyeda Zaherah Tayyiba Tahira
jaan e Ahmed ki raahat pay lakhoon Salaam
Hasan e Mujtaba syed ul askhiya
raakib e Dosh e izzat pay lakhoon Salaam
aoj e mehr e huda moj e bahr e nada
rooh roh e sakhawat pay lakhoon Salaam
shehad Khawar luaab zuban e nabi
chaashni geer e Ismat pay lakhoon Salaam
is shaheed e Balaa shah e gulgoo(n) qaba
bekus e Dasht e ghurbat pay lakhoon Salaam
Durr e darj e najaf mehr e burj e Sharaf
rang e ruye shahadat pay lakhoon Salaam

Ahley islam ki Madraan e shafeeq
Ba-Nuwaan e Taharat pay lakhoon Salaam
jilaw giyyan Bait-ush-Sharf par durood
Parw giyyan iffat pay lakhoon Salaam
Seema pehli maa kahf e aman o amma(n)
haq guzaar e rafaaqat pay lakhoon Salaam
arsh se jis pay tasleem nazil hui
is saraaye salamat pay lakhoon Salaam
Manzilum Min Qasab La Nasab La Sakhab
aisay koshak ki zeenat pay lakhoon Salaam
bint e Siddique aarame e jaan e Nabi
Us hareem e bara’at pay lakhoon Salaam
Yani hai Surah e Noor jin ki gawah
un ki purnoor soorat pay lakhoon Salaam
jin mein rooh al quds be ijazat nah jaye(n)
unn suradiq ki Ismat pay lakhoon Salaam
shama e tabaan kashaana e ijtehaad
mufti e chaar millat pay lakhoon Salaam
jaa(n) nisaaran e badar o uhad par durood
haq guzaran e ba’et pay lakhoon Salaam

woh dasoo(n) jin ko jannat ka muzdah mila
us mubarak jama’at pay lakhoon Salaam
khaas us sabiq e Sair qurb e khuda
Auhad e kamiliyyat pay lakhoon Salaam
Saaya e Mustafa Maaya e Istifa
Izz o Naaz e khilafat pay lakhoon Salaam
Yani us afzal-ul-khalq Ba’d-ar-Rusul
sani-Yas-nainin hijrat pay lakhoon Salaam
asdaq us Sadiqee(n) syed ul muttaqee(n)
chasham o gosh e wizarat pay lakhoon Salaam
woh Umar jis ke aada pay Shaida saqar
us khuda dost hazrat pay lakhoon Salaam
faariq e haq o baatil Imam ul huda
tegh e maslool e shiddat pay lakhoon Salaam
Tarjuman e Nabi ham zabaan e nabi
jaan e shan e adalat pay lakhoon Salaam
zahid e masjid Ahmadi par durood
dolat e jaish e usrat pay lakhoon Salaam
Durr e mansoor quraa(n) ki silk bahi
zooj e do noor e iffat pay lakhoon Salaam

Yani Usmaan sahib e qamees e huda
hulla posh e shahadat pay lakhoon Salaam
Murtaza sher e haq ashja ul ashja’ee(n)
Saqi e sher o sharbat pay lakhoon Salaam
asal e nasl e Safa wajh e wasl khuda
baab e fasl wilayat pay lakhoon Salaam
awwaleen daf’i e Ahley rafz o khurooj
charumi rukn e millat pay lakhoon Salaam
sher e Shamsheer zan shaah e Khyber Shikan
partaw e dast e qudrat pay lakhoon Salaam
mahi e rafz o tafzeel o nasb o khurooj
haami e deen o sunnat pay lakhoon Salaam
mominee(n) paish e Fath wa pas-e-fatah sab
Ahley khair o adalat pay lakhoon Salaam
jis musalmaan ne dekha unhein ik nazar
us nazar ki basarat pay lakhoon Salaam
jin ke dushman pay laanat hai Allah ki
un sab Ahley mohabbat pay lakhoon Salaam
baqi saqiyaan e sharaab e tahoor
Zain e Ahley ibadat pay lakhoon Salaam

Aur jitne hain Shehzaade us Shah ke
un sab Ahley makaanat pay lakhoon Salaam
unn ki baala sharafat pay aala durood
un ki wala siyadat pay lakhoon Salaam
Shafa’i Maalik Ahmad Imam e haneef
chaar bagh e imamat pay lakhoon Salaam
kaamilaan e tareeqat pay kaamil durood
Haamilaan e Shari’at pay lakhoon Salaam
Ghaus e Azam Imam-ut-Tuqaa Wan-Nuqaa
Jalwa e shan e qudrat pay lakhoon Salaam
Qutb e abdaal o irshad o rushd-ur-rishaad
Muhiye deen o millat pay lakhoon Salaam
mard e khail e tareeqat pay be had durood
Fard e Ahley haqeeqat pay lakhoon Salaam
jis ki minbar hui gardan e Aolia
Us qadam ki karamat pay lakhoon Salaam
shah e Barkaat o barkaat e pesheniaa(n)
no bahar e tareeqat pay lakhoon Salaam
sayyad aal e Mohammad Imam-ur-rasheed
gul e raoz e riyazat pay lakhoon Salaam

Hazrat e Hamza sher e khuda o rasool
zeenat e Qadriyyat pay lakhoon Salaam
naam o kaam o tan o jaan o haal o maqaal
sab mein achay ki soorat pay lakhoon Salaam
Noor e jaa(n) itr majmoa aal e rasool
mere aaqaye Ne’mat pay lakhoon Salaam
zaib e sajjadah Sajjad noori nihaad
Ahmed e noor teenat pay lakhoon Salaam
be azaab o itab o hisaab o kitaab
taa abad Ahle Sunnat pay lakhoon Salaam
teray un dosto(n) ke tufail ae khuda
banda e nang e Khulqat pay lakhoon Salaam
Mere Ustaad Maa Baap Bhai Behan
Ahl o wald o Asheerat pay lakhoon Salaam
Aik mera hi Rehmat mein daawa nahi
Shah ki saari ummat pay lakhoon Salaam
kash mehshar mein jab un ki aamad ho aur
bhejain sab unn ki Shaukat pay lakhoon Salaam
mujh se khidmat ke Qudsi kahin haan Raza
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button