Kaabay Ke Badr ud Duja Tum Pay Karoro(n) Durood with Lyrics
Kaabay Ke Badr ud Duja Tum Pay Karoro(n) Durood with Lyrics
Kaabay ke Badr ud Duja tum pay karoro(n) duroood
taiba ke Shams ud Duha tum pay karoro(n) duroood
shaf’a e roz e jaza tum pay karoro(n) duroood
daf’a e jumla balaa tum pay karoro(n) duroood
jaan o dil e Asfiya tum pay karoro(n) duroood
aab o Gul e Anmbia tum pay karoro(n) duroood
layein to yeh dusra dosra jis ko mila
koshk arsh o danni tum pay karoro(n) duroood
aur koi ghaeb kya tum se nihaa(n) ho bhala
jab nah khuda hi chhupa tum pay karoro(n) duroood
Toor koh Kaleem pe jo shama tha chaand tha sa’eer koh maseeh ka
Nayyar faraa(n) hua tum pay karoro(n) duroood
dil karo thanda mera woh kaf e pa chaand sa
seenay pay rakh do zara tum pay karoro(n) duroood
zaat hui Intikhaab wasf hue lajawab
naam hua mustafa tum pay karoro(n) duroood
ghayat o illat sabab behr e jaha(n) tum ho sab
tum se Bana tum bina tum pay karoro(n) duroood
tum se jahan ki hayaat tum se jahan ka cabaat
asal se hai zill bandhaa tum pay karoro(n) duroood
maghz tum aur post aur hei(n) bahrke dost
tum ho darun e sara tum pay karoro(n) duroood
kya hain jo be had hain laos tum to ho Ghais aur Ghaus
cheenthay mein ho ga bhala tum pay karoro(n) duroood
tum ho Hafeez o Mugheec kya hai woh dushman khabees
tum ho to phir khauf kya tum pay karoro(n) duroood
woh shab e mairaaj raaj woh saf e mehshar ka taaj
koi bhi aisa hua tum pay karoro(n) duroood
Nuhta Falahal Falah Ruhta Farahal Marah
Ud Liya’oodal Hana tum pay karoro(n) duroood
jaan o jahan e maseeh daad ke dil hai jareeh
nabzai(n) chatei(n) dam chala tum pay karoro(n) duroood
uff woh rh e sanglakh aah yeh pa shaakh shaakh
ae mere mushkil kusha tum pay karoro(n) duroood
tum se khula baab e jood tum se hai sab ka wujood
tum se hai sab ki baqa tum pay karoro(n) duroood
khasta ho(n) aur tum ma’az basta ho(n) aur tum malaaz
agay jo Shah ki Raza tum pay karoro(n) duroood
garche hain be hadd qasoor tum ho afuw o GHAFOOR
bakhash do jurm o khata tum pay karoro(n) duroood
mehr e khuda noor noor dil hai siya din hai door
shab mein karo chandna tum pay karoro(n) duroood
tum ho shaheed o baseer aur mein gunah par dilair
khol do chashm e haya tum pay karoro(n) duroood
cheent tumhari sehar chuuth tumhari qamar
dil mein racha do zia tum pay karoro(n) duroood
tum se khuda ka zahuur uss se tumhara zahuur
Lim hai yeh woh Inn hua tum pay karoro(n) duroood
be hunar o be tameez kis ko hue hain Aziz
aik tumahray siwa tum pay karoro(n) duroood
aas hai koi nah paas aik tumhari hai aas
bas hai yahi aasra tum pay karoro(n) duroood
tarim e aala ka arsh jis kaf e pa ka hai farsh
aankhon pay rakh do zara tum pay karoro(n) duroood
kehnay ko hain aam o khaas aik tumhi(n) ho khalas
band se kar do riha tum pay karoro(n) duroood
tum ho shifaye marz khalq e khuda khud gharz
khalq ki haajat bhi kya tum pay karoro(n) duroood
aah woh raah e siraat bundon ki kitni bisaatt
Al-Madad ae rehnuma tum pay karoro(n) duroood
be adab o bad lehaaz kar nah saka kuch hifaz
Afwo pay bhola raha tum pay karoro(n) duroood
lao tah e daman ke shama jhonko(n) mein hai roz e jam’a
aandhiyo se Hashar utha tum pay karoro(n) duroood
seenah ke hai daagh daagh keh do kare baagh baagh
Taiba se aakar saba tum pay karoro(n) duroood
Gaisuu o qad laam alf kar do balaa Munsarf
laa ke tah e tegh e laa tum pay karoro(n) duroood
tum ney barang e falaq jaib e jaha(n) kar ke shaqq
noor ka tarka kya tum pay karoro(n) duroood
naobat e Dar hain fallak khadim e Dar hain Malak
tum ho jahan Badsha tum pay karoro(n) duroood
Khalq tumhari jameel khulq tumhara jaleel
khalq tumhari gadaa tum pay karoro(n) duroood
Taiba ke mah e tamam jumla rusul ke imam
noosha e milk e khuda tum pay karoro(n) duroood
tum se jaha(n) ka nizaam tum pay karoro(n) Salam
tum pay karoro(n) sana tum pay karoro(n) duroood
tum ho jawad o kareem tum ho Ra’oof o Raheem
bheek ho dataa ataa tum pay karoro(n) duroood
khalq ke haakim ho tum rizaq ke Qasim ho tum
tum se mila jo mila tum pay karoro(n) duroood
naf’e o daf’e ho tum Shaf’e o Raf’e ho tum
tum se bas Afzoo(n) khuda tum pay karoro(n) duroood
Shafi o naafi ho tum kaafi o wafi ho tum
dard ko kar do dawa tum pay karoro(n) duroood
jayen nah jab tak ghulam khuld hai sab par haraam
mlik to hai aap ka tum pay karoro(n) duroood
Mazhar e haq ho tumhi(n) Muzhir e haq ho tumhi(n)
tum mein hai zahir khuda tum pay karoro(n) duroood
zoor e dih e na rasaa(n) takiya gah e be kasaa(n)
baadshah e mawra tum pay karoro(n) duroood
barsay karam ki bharan pholai(n) ne’am ke chaman
aisi chala do hawa tum pay karoro(n) duroood
ik taraf A’adaey dee(n) aik taraf Hasidee(n)
bandah hai tanha shaha tum pay karoro(n) duroood
kyun kahoon bekus hu(n) mein kyun kahoon be bas hu(n) mein
tum ho mein tum par fida tum pay karoro(n) duroood
ganday nikammay kameen mehngay ho(n) kori ke teen
kon hamein paalta tum pay karoro(n) duroood
baat nah Dur ke kahin ghaat nah ghar ke kahin
aisay tumhe paalna tum pay karoro(n) duroood
aiso(n) ko Nemat khilaao doodh ke sharbat pilaao
aiso(n) ko aisi ghiza tum pay karoro(n) duroood
girnay ko hon rook lo ghouta lagey haath do
aison par aisi ataa tum pay karoro(n) duroood
apne khata vaaro(n) ko apne hi daman mein lo
kon kere yeh bhala tum pay karoro(n) duroood
karkay tumahray gunah mangeen tumhari panah
tum kaho daman mein aa tum pay karoro(n) duroood
kar do aduww ko tabah haasidon ko roo barah
Ahley wila ka bhala tum pay karoro(n) duroood
hum nay khata mein nah ki tum nay ataa mein nah ki
koi kami Sawara tum pay karoro(n) duroood
kaam gazabb ke kiye is pay hai sarkar se
bando(n) ko chashm e riza tum pay karoro(n) duroood
aankhh ataa keejiye is mein zia dejiye
jalwa qareeb aagaya tum pay karoro(n) duroood
kaam woh le lijiye tum ko jo raazi kare
theek ho naam e Raza tum pay karoro(n) duroood