Balaghal Ula Be Kamalehi Lyrics
Balaghal Ula Be Kamalehi Lyrics in Urdu
Suhaani raat thi aur pur sukoo(n) zamana tha
Asal main dooba hua jazb e aashiqana tha
Unhein to arsh pe mehboob ko bulana tha
Hawas thi deed ki meraj to bahaana tha
Sare la makaa(n) se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Sare la makaa(n) se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Ye jamaal e husn ka mojza
Ke firaaq haq bhi na seh saka
Sare la makaa(n) se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Shab e meraj liya arsh e baree(n) par bulwae
Sadma e hijr khuda se bhi gawara na hua
Sare la makaa(n) se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Sare la makaa(n) se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Koi had hai unke urooj ki
Balaghal Ula Be Kamalehi
Khair ul wara, Sadr us duka
Najm ul huda, Noor ul ula
Shams ud duha, Badr ud duja
Yani Muhammad Mustafa
Aqa rawa salaar e dee(n)
Ya Rehmatal Lil Alameen
Ae muqtada e mursaleen
Ae peshwa e Ambiya
Jannat nishan e kowe to
Wash Shams imaa(n) roe to
Wal Lail wasf e loye to
Khubi ye ruyat bad Duha
Is main to isme azami
Jis main to jaan e aalami
Zaat e to fakhr e aadmi
Shaan e to shaan e kibriya
Jo gaya hai farsh se arsh tak
Wo buraq le gaya be-dharak
Tabak e zamee(n) waraq e falaq
Gaye neechy paao(n) say pur sarak
Latei(n) zulf ki jo gayi(n) latak
To jahaan saara gaya mahak
Hogaye mast bulbulay is qadar
To ye ghunchay bolay chatak chatak
Gaye ghar se charh ke buraq par
Shab e wasl e rukh se hui sahar
Ye safar tha khoob se khoob tar
Yahi tha har ik ki zaban par
Koi had hai unke urooj ki
Balaghal Ula Be Kamalehi
Yehi ibtida yehi intiha
Ye faroogh jalwa e haq numa
Ke jahaan saara chamak utha
Kashafad Duja Be Jamalihi
Rukh e Mustafa ki yeh roshni
Yeh tajalliyo(n) ki hama hami
Kay har aik cheez chamak uthi
Kashafad Duja Be Jamalihi
Na falak Na chaand tare Na sahar Na raat hoti
Na tera Jamaal hota Na ye qainat hoti
Kay har aik cheez chamak uthi
Kashafad Duja Be Jamalihi
Wo sarapa rehmat e kibriya
Ke har ik pe jiska karam hua
Ye Quran e pak hai barmala
Hasunat Jamee o Khisalihi
Ye kamaal e haqq e Muhammadi
Ke har ik pe chashm e karam hua
Sar e Hashr naara e Ummati
Hasunat Jamee o Khisalihi
Wohi haq nigar wohi haq numa
Rukh e Mustafa hai wo aaina
Kay Khuda e pak ne khud kaha
Sallu Alaihi Wa Aalihi
Mera deen ambar e warsi
Ba khuda hai ishq e Muhammadi
Mera zikr o fikr hai bas yehi
Sallu Alaihi Wa Aalihi
Chay kun ambayan e kumaleho
Balaghal Ula Be Kamalehi
Chay farogh karda jamaleho
Kashafad Duja Be Jamalihi
Munhae ratamza khisaleho
Hasunat Jamee o Khisalihi
Dil o jaan e maba khayaleho
Sallu Alaihi Wa Aalihi
Ae mazhar e Noor e Khuda
Balaghal Ula Be Kamalehi
Maula Ali mushkil kusha
Kashafad Duja Be Jamalihi
Hasnain jaan e Fatima
Hasunat Jamee o Khisalihi
Yani Muhammad Mustafa
Sallu Alaihi Wa Aalihi
Note:
These are the Lyrics of Balaghal Ula Be Kamalehi by Sabri Brothers, If you are searching for Lyrics read by Owais Raza Qadri are here Woh Kamal e Husn e Huzoor Hai Lyrics