Karbala Ke Jaan Nisaron Ko Salam Lyrics
Karbala Ke Jaan Nisaron Ko Salam Lyrics
Karbala ke janisaaro ko salam
Fatima Zahra ke piyaro(n) ko salam
Karbala teri baharoo(n) ko salam
Janisari ke nazaaro ko salam
Ya Hussain ibn e Ali mushkil kusha
Aap ke sab janisaaro(n) ko salam
Akbar o Asghar pe jaa(n) qurbaan ho
Mere dil ke tajdaro(n) ko salam
Qasim o Abbas par lakho(n) durood
Karbala ke shehsawaro(n) ko salam
Jis kisi ne karbala main jaan di
Un sabhi imaan daro(n) ko salam
Bhoki piyasi bibiyo(n) par ho durood
Bhokay piyasay gul-azaro(n) ko salam
Bhed kia jaane shahadat ka koi
Un Khuda ke raazdaaro(n) ko salam
Bebasi main bhi hayaa baaqi rahi
Sab Hussaini parda daaro(n) ko salam
Rahmate(n) ho(n) har Sahabi par mudaam
Aur khusoosan chaaryaaro(n) ko salam
Bibiyo(n) ko Abid e beemar ko
Bekasoo(n) ko sab becharo(n) ko salam
Ho gaye qurbaa(n) Muhammad aur Aon
Sayyida Zainab ke pyaro(n) ko salam
Jo Hussaini qafiley main thy shareek
Kehte hain Attar saaro(n) ko salam
I recently came across the lyrics of “Karbala Ke Jaan Nisaron Ko Salam” and was deeply moved by the powerful emotions and historical significance they carry. This heartfelt tribute to the heroes of Karbala is not only a reflection of their unwavering faith and sacrifice but also a reminder of the enduring impact of their actions on the world.