Sachi Baat Sikhatay Ye Hain Lyrics
Sachi Baat Sikhatay Ye Hain Lyrics
Sachi Baat Sikhatay Ye Hain
seedhi raah dikhatey yeh hain
doobi naaweiye(n) teraatay yeh hain
hilti hilti neivai(n) yeh hain
tooti aasain bandhatay yeh hain
choti nabzain chillatay yeh hain
jalti jaanen bhujaty yeh hain
roti ankhen hansate yeh hain
qasr e danaa tak kis ki rasai
jatay yeh hain atay yeh hain
is ke naib un ke sahib
haq se khalq milatay yeh hain
Shaf’i Naf’i Raf’i Daaf’i
kya kya rehmat laatay yeh hain
Shaf’e ummat naf’e khalqat
Rif’e rutbay barhate yeh hain
Daaf’i yani Hafiz o haami
Daf’ie balaa farmate yeh hain
Faiz e Jaleel Khaleel se pucho
aag mein baagh khilate yeh hain
un ke naam ke sadqy jis se
jeetay hum hain jilatay yeh hain
is ki bakhshish un ka sadqa
deta woh hai dilatey yeh hain
un ka hukum jahan mein nafiz
qabza kal pay rakhatay yeh hain
Qadir e kul ke naib Akbar
kin ka rang Dikhatay yeh hain
un ke haath mein har kunji hai
maalik e kul kehlate yeh hain
Inna A’ataenaakal Kausar
saari kasrat paate yeh hain
rabb hai Mu’tee yeh hain Qasim
rizq uss ka hai khilate yeh hain
maatam ghar mein aik nazar mein
shadi shadi rachatay yeh hain
apni bani hum aap begarein
kon banaye banatay yeh hain
lakhoon bulayen karoron dushman
kon bachaaye bachatey yeh hain
bande karte hain kaam ghazab ke
Muzda Raza ka sunaate yeh hain
naza’a rooh mein aasani dei(n)
kalma yaad dilatey yeh hain
marqad mein bundon ko thapk kar
meethi neend sulatey yeh hain
baap jaha(n) betay se bhage
lutaf wahan farmate yeh hain
maa jab iklote ko chorey
aa aa keh ke bulatay yeh hain
sankho(n) bekus ronay walay
kon chupaye chupaate yeh hain
khud sajday mein gir kar apni
girty ummat uthsate yeh hain
nangoo(n) benangoo(n) ka parda
daman dhak ke chupatay yeh hain
apne bharam se hum halkoo(n) ka
palla bhaari banatay yeh hain
thanda thanda meetha meetha
peetay hum hai(n) pilate yeh hain
Sallim Sallim ki dhaaras se
pal par hum ko chalatay yeh hain
jis ko koi na khulwa sakta
woh zanjeer hilaate yeh hain
jin ke chappar taq nahi oon ke
mooti mehal sajwatay yeh hain
topi jin ke nah jooti un ko
taaj o Buraq dilatey yeh hain
kehdo Raza say khush ho khush reh
Muzda Raza ka Sunatay yeh hain
“Sachi Baat Sikhatay Ye Hain Lyrics” ki kahani har lafz mein ek gehraai chhupi hui hai. Ye noton ka jadoo, roohaniyat aur sachai ka izhar karne ka ek anokha tareeqa hai. Har sher ek khudaaii ke pal mein chhupa hua hai, jise mehsoos karna dil ko choo jata hai. Yeh geet sachai aur insaniyat ki talwar hai, jo sunne walon ko apne asal aurat tak pahunchane ka zariya banata hai.