Hai Lab e Eesa Se Jaan Bakhshi Nirali Haath Mein with Lyrics
Hai lab e eesa se jaan bakhsh nirali haath mein
Sangraizay paate hain sherei(n) maqaali haath mein
Bey nawaoo(n) ki nigehain hain kahan tehreer dast
Reh gayeen jo pa ke joodila yazali haath mein
Kya lakiron mein yad allah khat saro aasa likha
Raah yun is raaz likhnay ki nikaali haath mein
Jood e shah e kusar apne pyason ka joya hai aap
Kya ajab urrh kar jo aap aaye piyali haath mein
Abr naisaa(n) mominon ko taigh uryaan kufar par
Jama hain shan e jamali o jalali haath mein
Maalik e konain hain go paas kuch rakhtay nahi
Do jahan ki naematain hain un ke khaali haath mein
Saya afgan sir pay ho parcham ellahi jhoom kar
Jab liwaa’alhamd le ummat ka wali haath mein
Har khat e kaf hai yahan ae dast e baizaaey claim
Mojzan dareaye noore be misali haath mein
Woh giran sangee qadr e mass woh arzani jood
No ayah badla kiye sang walaali haath mein
Dastagir har do aalam kar diya sabtain ko
Ae mein qrban jaan-e jaan angisht kya li haath mein
Aah woh aalam ke ankhen band aur lab par duroood
Waqf sang e dar jabeen roza ki jaali haath mein
Jis ne bai’at ki bahhar husn par qrban raha
Hain lakerain naqsh taskheer jamali haath mein
Kash ho jaaon lab e kausar mein yun va rafta hosh
Le kar is jaan e karam ka zail aali haath mein
Aankhh mehve jalwa e deedar dil pur josh e wajad
Lab pay shukar bakhshish saqi piyali haath mein
Hashar mein kya kya mazay varftgi ke lon raza
Lout jaao(n) pa ke woh daamaan e ali haath mein