Zameen o Zaman Tumhare Liye Naat Lyrics
Zameen o zamaa(n) tumharay liye Makeen o makaa(n) tumharay liye
chuneen o chunaa(n) tumharay liye banay do jahan tumharay liye
dahan mein zuba(n) tumharay liye badan mein hai jaan tumharay liye
hum aeye yaha(n) tumharay liye uthei(n) bhi waha(n) tumharay liye
farishtay khidam rasool hisham Tamam e umam ghulam e karam
wujood o adam hudooc o qidm jahan mein iyaa(n) tumharay liye
Kaleem o Naji Maseeh o Safi Khaleel o Razi Rasool o Nabi
Ateeq o Wassi Ghani o Ali sana ki zuba(n) tumharay liye
Isaalat e kul imamat e kul siyadat e kul imarat e kul
hukomat e kul wilayat e kul khuda ke yahan tumharay liye
tumhari chamak tumhari damak tumhari jhalak tumhari mehak
zameen o fallak simaak o samak mein sikka nisha(n) tumharay liye
woh kanz e nihaa(n) yeh noore fasha(n) woh kun se iyaa(n) yeh bazm e fakaa(n)
yeh har tan o jaa(n) yeh bagh e janaa(n) yeh sara samaa tumharay liye
zuhoor e nihaa(n) qayam e jahan ruku’ e mihaa(n) Sujood e shahaa(n)
niyaazei(n) yaha(n) namazai(n) waha(n) yeh kis liye haa(n) tumharay liye
yeh Shams o Qamar yeh shaam o sehar yeh barg o Shajar yeh baagh o samar
yeh tegh o Siper yeh taaj o kamar yeh hukm rawa(n) tumharay liye
yeh Faiz diye woh jood kiye ke naam liye zamana jiye
jahan ney liye tumharay diye yeh ikramiyaa(n) tumharay liye
sahaab e karam rawana kiye ke aab e ni’am zamana piyay
jo rakhtay they hum woh chaak siye yeh sattar badaa(n) tumharay liye
sana ka nisha(n) woh noor e fashaa(n) ke mehr washaa(n) baanhmeh shan
basaaya kasha(n) mawakib sha(n) yeh naam o nisha(n) tumharay liye
ataye arab jalaaye karab fayooz e ajab baghair talabb
yeh Rehmat Rabb hai kis ke sabab barabb e jaha(n) tumharay liye
zunoob fanaa ‘uyoob haba qaloob safa khutoob rawa
yeh khoob ataa kuroob zuda pa’e dil o jaa(n) tumharay liye
nah jinn o bashar ke aathon pehar mulaika Dur pay basta kamar
nah jubba o sar ke qalb o jigar hain sajda kunaa(n) tumharay liye
nah Rooh e amee(n) nah arsh e baree(n) nah laoh e mubee(n) koi bhi kahin
khabar hi nahi jo ramzain khilai(n) azal ki nihaa(n) tumharay liye
jinaa(n) mein chaman, chaman mein Saman , Saman mein phaban, phaban mein dulhan
sazae mihan pay aisay minan yeh amn o Amaa(n) tumharay liye
kamaal mhaa(n) jalal e shahaa(n) Jamal hisaa(n) mein tum ho iyaa(n)
ke saaray jahan mein roz e fakaan zil e aaina saa(n) tumharay liye
yeh tor kuja sipehr to kya ke arsh ula bhi daur raha
jeht se vira visal mila yeh rif’at sha(n) tumharay liye
Khalil o Naji, Maseeh o Safi sabhi se kahi kahi(n) bhi bani
yeh be khaberi ke khalq phiri kaha(n) se kaha(n) tumharay liye
bafaor e sada samaa(n) yeh bandha yeh sidra utha woh arsh jhuka
sufoof e sama ney sajda kya hui jo aza(n) tumharay liye
yeh marhmatei(n) ke kachi matei(n) nah chore(n) latei(n) nah apni gatei(n)
qasoor kare(n) aur un se bharai(n) qasoor e jinaa(n) tumharay liye
Fanaa Badarat Baqa Babrat zay har do jeht bagar disarat
hai markaziat tumhari sift ke dono kama(n) tumharay liye
isharay se chaand cheer diya chupay hue khur ko phair liya
gaye hue din ko asr kya yeh taab o tawaa(n) tumharay liye
Saba woh chalay ke baagh phalay woh phool khilay ke din hon bhalay
liwa ke talay Sana mein khulay Raza ki zaba(n) tumharay liye