Zamana Hajj Ka Hai Jalwa Diya Hai Shahid e Gul Ko Naat Lyrics
Zamana hajj ka hai jalva diya hai shahid e gul ko
Ellahi taaqat parwaaz day par haaey bulbul ko
Baharen ayen joeban par ghira hai abr rehmat ka
Lab e mushtaq bheegei(n) day ijazat saakiya mil ko
Miley lab se woh mashkein mohar wali dam mein dam aeye
Tapak sun kar qm eesa kahoon masti mein qulqul ko
Muchel jaaon(n) sawal e mudda par thaam kar daman
Behekne ka bahana paao(n) qasad be taamul ko
Duaa kar bikhat khaftah jaag hangaam ajabat hai
Hataya subh e rukh say shaah nay shanhaaey kakul ko
Zuban e falsafi se aman kharique o iltyaam asra
Panah doori rehmat haae yak saa’at tasalsul ko
Do shanbh mustafa ka jum’a e aadam se behtar hai
Sikhana kya lihaz e hesiyat khoy taimmul ko
Wafoor shaan rehmat ke sabab jurrat hai ae pyare
Nah rakh bahar kkhuda sharminda arze be taimmul ko
Pareshani mein naam un ka dil e sad chaak se nikla
Ajabat shana karne aayi gaisu e tawassal ko
Raza nah sabza e gardo(n) hain kotal jis ke maokab ke
Koi kya likh sakay is ki sawari ke tajammul ko