Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics

Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics

Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana, Aye Hasnain ke nana
Zahra paak ke sadqay humko taiba mein bulwana
Aye Hasnain ke nana, Aye Hasnain ke nana

Aap ke dar ka hun mein bhikari aap hain mere daata
Saare rishte naato se hai piyara apna naata
Aap to hain aata hai jinko sab ki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana, Aye Hasnain ke nana

Be saya hain lekin do jag par hai aap ka saaya
Arshe mu’alla bana muhalla deed ko rab ne bulaya
Hashr talak na hoga kisi ka aesa aana jana
Aye Hasnain ke nana, Aye Hasnain ke nana

Saj gayi hai milad ki mehfil kya hai khoob nazaara
Kaif o masti main dooba hai dekho aalam saara
Dhoond rahi hai aap ki rehmat bakhshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana, Aye Hasnain ke nana

Nisbat ka faizan hai dekho khadim e Ghous e jali hoon
Karta hai mujh pe naaz zamana main Ausaaf e Ali hoon
Aap ki aal ke dar k sag hun saail hun purana
Aye Hasnain ke nana, Aye Hasnain ke nana

Exit mobile version