Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hamatan Karam Banaya Urdu Lyrics
Wohi Rab hai jis nay tujh ko hama tan karam banaya
hamein bheek mangnay ko tera aastaa(n) bataya
tujhey hamd hai khudaaya
tumhee(n) hakim e baraya tumhee(n) qasim e Ataya
tumhee(n) daf’i e balaya tumhee(n) shaf’i e khataaya
koi tum sa kon aaya
woh kanwari pak Maryam woh Nafakhto Feehi ka dam
hai ajab nishan e Azam magar Aamina ka jaya
wohi sab se afzal aaya
yahi bolay Sidra walay chaman e jaha(n) ke thaalay
sabhi mei(n) nay chaan daalay tere paye ka na paaya
tujhey yak ny yak banaya
Fa-iza Faraghta Fansab yeh mila hai tum ko mansab
jo gada bana chuke ab utho waqt e Bakhshish aaya
karo qismat e ataya
Wa-ilal Ilaahi Farghab karo arz sab ke matlab
ke tumhee(n) ko taktey hai(n) sab karo un par apna sayaa
bano shaf’i e khataaya
Arrey ae Khuda ke Bandoo! koi mere dil ko dhundo
meray paas tha abhi to abhi kya hua khudaaya
nah koi gaya nah aaya
hamein ae Raza tere dil ka pata chala ba mushkil
dar e roza ke maqabil woh hamei(n) nazar to aaya
yeh nah pooch kaisa paaya
kabhi khanda zair lab hai kabhi giryaa saari shab hai
kabhi gham kabhi tarab hai nah sabab samajh mei(n) aaya
nah isi nay kuch bataya
kabhi khaak par para hai sar e charkh zair e pa hai
kabhi paish e Dar khara hai sar e bandagi jhukaya
tu qadam mein arsh paaya
kabhi woh tapak ke aatish kabhi woh tapak ke barish
kabhi woh hujoom e naalish koi janay abr chaaya
barri joshishoo(n) se aaya
Kabhi woh chahek ke bulbul kabhi woh mehak ke khud Gul
kabhi woh lehek ke bilkul chaman e jinaa(n) khilaya
gul e Quds lehlahaya
kabhi zindagi ke arma(n) kabhi marg no ka khwaaha(n)
woh jiya ke marg qurba(n) woh mawaa ke zeist laya
kahay rooh haa(n) jilaya
kabhi gum kabhi iyaa(n) hai kabhi sard gah tapaa(n) hai
kabhi zair e lab faghaa(n) hai kabhi chup ke dam nah tha ya
rukh e kaam jaa(n) dikhaya
yeh tasawurat baatil tere agay kya hain mushkil
teri Qudratie(n) hain kaamil unhei(n) raast kar khudaaya
mein unhein Shaf’ee laya