Woh suye lala zaar phirtay hain
Teray din ae bahhar phirtay hain
Jo tere dar se yaar phirtay hain
Dar badar yun hi khawar phirtay hain
Aah kal aish to kiye ham ne
Aaj woh by qarar phirtay hain
Un ke ima(n) se dono baagon par
Khail e lail o nehar phirtay hain
Har chairag mazaar par qudse
Kaisay parwana waar phirtay hain
Uss gali ka gadda hon mein jis mein
Mangty tajdar phirtay hain
Jaan hain jaan kya nazar aeye
Kyun ado gird ghaar phirtay hain
Phool kya daikhon meri aankhon mein
Dast e tayyiba ke khaar phirtay hain
Lakhoon qudse hain kaam khidmat par
Lakhoon gird e mazaar phirtay hain
Vardyan boltay hain hrkare
Pehra dete sawaar phirtay hain
Rakhiye jaisay hain khanah zaad hain hum
Maul ke aib daar phirtay hain
Haae ghaafil woh kya jagah hai jahan
Paanch jatay hain chaar phirtay hain
Baen raste nah ja musafir sun
Maal hai raah maar phirtay hain
Jaag sunsaan ban hai raat aayi
Garrag behr e shikar phirtay hain
Nafs yeh koi chaal hai zalim
Jaisay khasay bijaar phirtay hain
Koi kyun pouchye teri baat raza
Tujh se shaida hazaar phirtay hain