Woh Sarwar e Kishwar e Risalat Qasida e Mairaj with Lyrics
Woh sarwar e kishwar e risalat jo arsh par jalwa gar hue they
Naye nirale tarab ke sama(n) arab ke maheman ke liye they
Bahar hai shadia(n) mubarak chaman ko abadiyaa(n) mubarak
Malak falak apni apni le mein yeh ghar anadel ka boltay they
Wahan falak par yahan zamee(n) mein rachi thi shadi machi thi dhoomai(n)
Udhar se anwaar hanstay atay idher se nafhaat uth rahay they
Yeh chhoot partee thi unn ke rukh ki ke arsh taq chandni thi chatki
Woh raat kya jagmaga rahi thi jagah jagah nasb aainay they
Nai dulhan ki phaban mein kaaba nikhar ke sanwra sanwar ke nikhra
Hajar ke sadqy kamar ke ik til mein rang lakhoon banaao ke they
Nazar mein dulha ke pyare jalwey haya se mehrab sar jukaye
Siyah parday ke munh par aanchal tajalli zaat bahat se thay
Khusi ke baadal umand ke aeye dilo(n) ke taaos rang laaye
Woh naghma e na’at ka samaa tha haram ko khud wajd arhay they
Yeh jhooma meezaab e zar ka jhoomer ke aaraha kaan par dhalak kar
Phohaar barsi to moti jhar kar hateem ki goad mein bharay they
Dulhan ki khusbhoo se mast kapray naseem gustaakh anchaloo(n) se
Ghilaaf mashkei(n) jo urr raha tha ghazaal nafe basa rahay they
Pahariyoo(n) ka woh husn e tazaee(n) woh unchee chooti woh nazo tamkee(n) !
Saba se sabza mein lehre(n) aati(n) dupattay dhani chune hue they
Naha ke nehro(n) ne woh chamakta libaas aab e rawa(n) ka pehna
Ke moajai(n) charrya(n) thee(n) dhaar lachka habab e taba(n) ke thal take they
Purana par daagh malgaja tha uttha diya farsh chandni ka
Hujoom e taar e nigh se kosoo(n) qadam qadam farsh baadlaay thay
Ghubar ban kar nisar jaye(n) kahan ab uss reh guzar ko paye(n)
Hamaray dil huriyoo(n) ki ankhe(n) firishto(n) ke par jaha(n) bichay they
Khuda hi day sabar jaan e par gham dikhau(n) kyun kar tujhy woh aalam
Jab unn ko jhurmat mein le ke qudse janaa(n) ka dulha bana rahay they
Utaar kar unn ke rukh ka sadqa yeh noor ka batt raha tha baara
Ke chaand suraj machal machal kar jabee(n) ki kheraat mangte they
Wohi to ab taq chhalak raha hai wohi to joban tapak raha hai
Nahanay mein jo gira tha pani katorey taron ne bhar liye they
Bacha jo talwon ka unn ke dhowan bana woh jannat ka rang o roghan
Jinhon ne dulha ki payi utran woh phool gulzaar noor ke they
Khabar yeh tehweel mohar ki thi ke rut suhaani ghari phiray gi
Wahan ki poshak zaib tan ki yahan ka jora barha chuke they
Tajalli e haq ka sehra sir par salaat o tasleem ki nichhawar
Do rawayya qudsi paray jama kar kharray salami ke wastay they
Jo hum bhi wa(n) hotay khak e gulshan lipat ke qadmon se letay utran
Magar karen kya naseeb mein to yeh naa muraadi ke din likhay they
Abhi nah aeye they pusht zee(n) taq ke sar hui maghfirat ki shillik
Sada shafaat ne di mubarak! Gunah mastana jhomtay they
Ajab nah tha rakhsh ka chamakna ghazaal dam khorda sa bharakna
Shu’ayen bikey urra rahi theen tarapty aankhon pay saa’eqay they
Hujhoom e umeed hai ghatao muradai(n) day kar unhein hatao
Adab ki bagei(n) liye barhao malaika mein yeh ghulghulay they
Utthee jo gard e rah e munawwar woh noor barsa ke rastay bhar
Ghiry they baadal bharay they jal thal umand ke jungle ubal rahay they
Sitam kya kaisi mat kati thi qamar ! Woh khaak unn ke reh guzar ki
Uttha nah laya ke mlitay mlitay yeh daagh sab daikhta mite they
Buraq ke naqsh e sam ke sadqy woh gul khilaye ke saaray raste
Mehaktay gulban lehektey gulshan harey bharay lehlaha rahay they
Namaz e aqsa mein tha yahi sirr ayaan hon maienay awwal aakhir
Ke dast basta hain peechay haazir jo saltanat agay kar gay they
Yeh unn ki aamad ka dabdaba tha nikhaar har shai ka ho raha tha
Najoom o aflaaq jaam o meena ujaaltay they khangaaltay they
Naqaab ultay woh mohar anwar jalal e rukhsar garmiyo(n) par
Falak ko haibat se tap charhi thi tapaktay anjum ke aablay they
Yeh joshish e noor ka asar tha keh aab e gohar kamar kamar tha
Safaaey rah se phisal phisal kar sitaaray qadmon pay lottay they
Barha yeh lehra ke behr e wahdat ke dhul gaya naam e raig kasrat
Fallak ke teelon ki kya haqeeqat yeh arsh o kursi do bulbulay they
Woh zil e rehmat woh rukh ke jalwey ke taare chuptay nah khilnay paate
Sunehri zarbaft aaodis atlas yeh thaan sab dhoop chao(n) ke they
Chala wo sarw e chamaa(n) kharama(n) nah ruk saka sidra se bhi dama(n)
Palak jhapakti rahi woh kab ke sab ain o waa(n) se guzar chuke they
Jhalak si ik qudsiyo(n) par aayi hawa bhi daman ki phir na payi
Sawari dolha ki door pohanchi baraat mein hosh hi gaey they
Thakey they rah ul amei(n) ke bazu chhata woh daman kahan woh pehlu
Rikaab chhoti umeed tooti nigah e hasrat ke walwalay they
Rawish ki garmi ko jis ne socha dimagh se ik bhabu ka phoota
Khurd ke jungle mein phool chamka dahar dahar pairr jal rahay they
Jilo mein jo margh e aqal uray they ajab buray haloo(n) girtay parte
Woh sidra hi par rahay they thak kar charha tha dam tewar aagaye they
Qawi they murghaan e vaham ke par uray to urnay ko aur dam bhar
Uthai seenay ki aisi thokar ke khoon e andesha thuuktay they
Suna yeh itnay mein arsh haq ne ke le mubarak hon taaj walay
Wohi qadam kher se phir aeye jo pehlay taaj e sharf tere they
Yeh sun ke be khud pukaar uttha nisar jaoon kahan hain aaqa
Phir un ke talwon ka pao(n) bosa yeh meri aankhon ke din phiray they
Jhuka tha mujre ko arsh e aala giray they sjday mein bazm e baala
Yeh ankhen qadmon se mal raha tha woh gird qurbaan ho rahay they
Zeaien kuch arsh par yeh ayen ke saari qandelain jhilmilaayei(n)
Huzoor khurshid kya chamakate chairag munh apna dekhte they
Yahi samaa tha ke paek e rehmat khabar yeh laya ke chaliye hazrat
Tumhari khatir kushadah hain jo kaleem par band rastay they
Barh ae mohammad qaree(n) ho ahmed qareeb aa sarwar e mumajjad
Nisar jaoo(n) yeh kya nida thi yeh kya samaa(n) tha yeh kya mazay they
Tabarak allah shaan teri tujhi ko zaiba hai be nayazi
Kahin to woh josh e lan taraani kahin takazey wisal ke they
Khurd se kehdo ke sar jhuka le guma se guzray guzarnay walay
Parre hain yaan khud jehat ko lale kisay bataye kidhar gay they
Surag ain o mata kaha(n) tha nishan e kaif o elaa kahan tha
Nah koi raahi nah koi saathi nah sang e manzil nah marhalay they
Udher se peham takazey aana idher tha mushkil qadam barhana
Jalal o haibat ka saamna tha jamal o rehmat ubhaarte they
Barhay to lekin jhijhakte dartay haya se jhukatey adab se ruktay
Jo qurb unhei(n) ki rawish pay rakhtay to lakhoo(n) manzil ke faaslay they
Par un ka barhna to naam ko tha haqeeqatan fe’l tha udher ka
Tanazzulo(n) mein taraqqi afzaa danni tadalla ke silsilay they
Hua na aakhir ke aik behr atamawuj e behar ho mein ubhra
Danaa ki godi mein un ko le kar fanaa ke langar uthaa diye they
Kisay miley ghaat ka kinara kidhar se guzra kahan utaara
Bhara jo misl nazar taraara woh apni aankhon se khud chupay they
Uthay jo qasr e danaa ke parday koi khabar day to kya khabar day
Wahan to jahi nahi dooi ki nah keh ke woh bhi nah they aray they
Woh baagh kuch aisa rang laya ke ghuncha o gul ka farq uthaya
Girah mein kaliyon ki baagh phoolay gulon ke takmay lagey hue they
Muheet o markaz mein farq mushkil rahay nah fasil khutoot wasil
Kamanai(n) herat mein sar jukaye ajeeb chakkar mein dairay they
Hijaab uthnay mein lakhoo(n) parday har aik par day mein lakhoon jalway
Ajab ghari thi ke wasal o furqat janam ke bichre galaay miley they
Zubanai(n) sookhi dikha ke moajain tarap rahi theen ke pani payen
Bhanwar ko yeh ze’f tashnagi tha ke halqay aankhon mein par gay they
Wohi hai awwal wohi hai aakhir wohi hai batin wohi hai zahir
Usi ke jalwey usi se milnay usi se uss ki taraf gay they
Kamaan e amkaan ke jhutay nuqto tum awwal aakhir ke pheir mai(n) ho
Muheet ki chaal se to pucho kidhar se aeye kidhar gay they
Idhar se theen nazrsha namazai(n) idhar se inaam khusravi mein
Salaam o rehmat ke haar gundh kar gulooye par noor mein parre they
Zabaan ko intzaar guftan to gosh ko hasrat e shaneedan
Yahan jo kehna tha keh liya tha jo baat sunni thi sun chuke they
Woh burj bat-haa ka mah parah bahisht ki sair ko sadhaara
Chamak pay tha khuld ka sitara ke is qamar ke qadam gay they
Suroor maqdam ki roshni thi ke taabishoo(n) se mah e arab ki
Janaa(n) ke gulshan they jhaar farshi jo phool they sab kanwal banay they
Tarab ki nazish ke haan lachkiye adab woh bandish ke hil nah sakye
Yeh josh e ziddain tha ke pouday kashakash arra ke taley they
Khuda ki qudrat ke chaand haq ke karooro(n) manzil mein jalva karkay
Abhi nah taron ki chaon badli ke noor ke tarke aaliye they
Nabiyy e rehmat shafee’ e ummat! Raza pay lillah ho inayat
Isay bhi un khil’atoo(n) se hissa jo khaas rehmat ke waan bataay they
Sanaey sarkar hai wazifa qabol e sarkar hai tamanna
Nah shairi ki hawas nah para rawi thi kya kaisay qafiye they