Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi Naat Lyrics
Woh kamaal husn huzoor hai ke gumaan naqs jahan nahi
Yahi phool khaar se daur hai yahi shama hai ke dhuwan nahi
Do jahan ki behtryaa(n) nahi ke amani e dil o jaan nahi
Kaho kya hai woh jo yahan nahi magar ik ‘nahi’ ke woh haan nahi
Mein nisar tairay kalaam par mili yu(n) to kis ko zuba(n) nahi
Woh sukhan hai jis mein sukhan nah ho woh bayan hai jis ka bayan nahi
Ba khuda kkhuda ka yahi hai dur nahi aur koi mafar muqar
Jo wahan se ho yahin aakay ho jo yahan nahi to wahan nahi
Kere mustafa ki ihaanate(n) khulay bundon is pay yeh jurratie(n)
Ke mein kya nahi hon muhammadi arrey haan nahi arrey haan nahi
Tere agay yun hain dabey lachay fusaha arab ke barray barray
Koi jane munh mein zuba(n) nahi, nahi balkay jism mein jaan nahi
Woh sharf ke qata hain nisbatain woh karam ke sab se qareeb hain
Koi kehdo yaas o umeed se woh kahin nahi woh kahan nahi
Yeh nahi ke khuld nah ho niko woh nikooi ki bhi hai aabaroo
Magar ae madinah ki arzoo jisay chahay to woh samaa nahi
Hai unhay ke noor se sab ayaan hai unhay ke jalva mein sab nihaan
Banay subah tabesh mohar se rahay paish mohar yeh jaan nahi
Wohi noore haq wohi zal rab hai inhen se sab hai inhen ka sab
Nahi un ki malik mein aasmaa ke zamee nahi ke zamaan nahi
Wohi laa makaa(n) ke maken hue sar e arsh takhat nashen hue
Woh nabi hai jis ke hain yeh makan woh kkhuda hai jis ka makan nahi
Sar e arsh par hai teri guzar dil e farsh par hai teri nazar
Malakoot o malik mein koi shai nahi woh jo tujh pay ayaan nahi
Karoon tairay naam pay jaan fida na bas aik jaan do jahan fida
Do jahan se bhi nahi jee bhara karoon kya karooron jahan nahi
Tera qad to nadir deher hai koi misl ho to misaal day
Nahi gul ke poudoon mein dalian ke chaman mein saro chamaa(n) nahi
Nahi jis ke rang ka dosra nah to ho koi nah kabhi huwa
Kaho is ko gul kahe kya bani ke gulon ka dhair kahan nahi
Karoon madah ehley daul e Raza parre iss bulaa mein meri bulaa
Mein gadda hon apne kareem ka mera deen paara e naa(n) nahi