Tumharay Zarray Ke Par To Sitaar Haaey Falak Naat Lyrics
Tumharay zarray ke par to sitaar haaey fallak
Tumharay na-al ki naaqis misl ziaey fallak
Agarchay chhalay sitaron se par gay lakhoon
Magar tumhari talabb mein thakey nah paye fallak
Sar-e fallak nah kabhi tabeh aastaan pouncha
Ke ibtidaye bulandi thi intihaye fallak
Yeh mit ke un ki rawish par sun-hwa khud unn ki rawish
Ke naqsh e pa hai zamee par nah saut e paye fallak
Tumhari yaad mein guzri thi jagtay shab bhar
Chali naseem , hue band e deed haaey fallak
Nah jaag uthen kahin ehley baqee kachi neend
Chala yeh naram nah nikli sadaye paye fallak
Yeh unn ke jalva ne kee garmiyan shab_e_ asra
Ke jab se charkh mein hain naqra o talaey fallak
Mِre ghanni ne javaahiir se bhar diya daman
Gaya jo kamae meh le ke shab gdaye fallak
Raha jo qaney yak naan e sokhta din bhar
Mili huzoor se kaan gohr jzaye fallak
Tajammal shab e asra abhi simat nah chuka
Ke jab se waisi hi kotal hain sabz haae fallak
Khitaab haq bhi hai darbab e khalq min ajlaka
Agar idhar se dame hamd hai sadaye fallak
Yeh ahley bait ki chakki se chaal sikhi hai
Rawan hai be madad e dast aasiaey falak
Raza yeh naat nabi ne bulandian bakhshain
Laqab’ ‘ zameen e fallak’ ‘ ka huwa samaaye fallak