Tawaf – Tawaf Ka Tarika – How to Perform Tawaf

Tawaf ka Tarika

Tawaf shuru’ karnay say qabl mard iztiba’ ker layn ya’ni chadar seedhay hath ki baghal kay neechay say nikaal ker us kay donon pallay ultay kandhay per is tarah daal layn kay seedha kandha khula rahay. Ab parwanah war Sham’-e-Ka’bah kay gird tawaf kay liye tayar ho jaye. Iztiba’I halat may Ka’bah Shareef ki taraf munh kiye Hajar-e-Aswad ki baen (left) taraf Rukn-e-Yamani ki janib Hajar-e-Aswad kay qareeb is tarah kharray ho jaiye kay pura “Hajar-e-Aswad” aap kay seedhay hath ki taraf rahay. Ab baghayr hath uthaye is tarah tawaf ki niyyat kijiye:


اَللّٰھُمَّ اِنِّیْۤ اُرِیْدُ طَوَافَبَیْتِكَ  الْحَرَامِ فَیَسِّرْہُ لِیْ وَتَقَبَّلْہُ مِنِّیْط 

Tarjamah: Aye Allah Main teray mohtaram ghar ka tawaf karnay ka iradah karta hoon, Tu isay meray liye aasaan farma day aur meri janib say isay qabool farma. Niyyat ker laynay kay ba’d Ka’bah Shareef hi ki taraf munh kiye seedhay hath ki janib itna chalye kay Hajar-e-Aswad aap kay ‘aen samnay ho jaye. (Aur Yeh ma’moli sa siraknay say ho jayega), Aap Hajar-e-Aswad ki ‘aen seedh may aa chukay is ki ‘alamat yeh hay kay door sutoon may jo sabz light lagi hay who aapki peeth kay bilkul peechay ho jaye

Yeh jannat ka woh khushnaseeb patthar hay jisay hamaray piyare Aaqa Makki Madani Mustafa (S.A.W.W) nay yaqeenan chooma hay. Ab donon hath kanon tak is tarah uthaiye kay hatheliyan Hajar-e-Aswad ki taraf rahain aur parrhiye:


بِسْمِ اللّٰهِ وَالْحَمْدُ لِلّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَرُ وَالصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلٰی  رَسُوْلِ اللّٰهِط

Allah kay naam say aur tamam khoobiyan Allah kay liye hain aur Allah sab say bara hay aur Allah kay Rasool per Durood-o-Salam hoon.

Ab agar mumkin ho to Hajar-e-Aswad per donon hathayliyan aur un kay beech may munh rakh ker yun bosah dijiye kay awaz paida na ho, 3 baar aisa hi kijiye Jhoom jaiye kay aap kay lab us Mubarak jagah lag rahay hain jahan yaqeenan Madinay walay Aaqa (S.A.W.W) kay labhaye mubarakah lagay hain. Machal jaiye … tarap uthiye … aur ho sakay to aansuon ko behnay dijiye. Hazrat-e-Sayyiduna Abdullah bin ‘Umar farmatay hain kay hamaray Meethay Aaqa (S.A.W.W) Hajar-e-Aswad per labhaye mubarakah rakh ker rotay rahay phir iltifaat farmaya (ya’ni tawajjuh farmaye) to kiya daikhtay hain kay Hazrat-e-‘Umar bhi rorahay hain. Irshad farmaya: Aye ‘Umar Yeh ronay aur aansu bahanay ka hi maqam hay. (Ibn-e-Majah vol. 3, pp. 434, Hadees 2945)

Is bsaat ka khayal rakhiye kay logon ko aap kay dhakkay na lagayn kay yeh quwwat kay muzaharah ki nahin, ‘aajzi aur miskeeni kay izhaar ki jagah hay. Hujoom kay sabab agar bosa muyassar na aa sakay to na auron ko eiza dayn na khud dabayn kuchlayn balkay hath say Hajar-e-Aswad ko chhuker usay choom lijiye, Yeh bhina ban parray to hathon ka isharah ker kay apnay hathon ko choom lijiye, yehi kiya kam hay kay Makki Madani Sarkar (S.A.W.W) kay Mubarak munh rakhnay ki jagah per aapki nigahain per rahi hain.

Hajar-e-Aswad ko bosa daynay ya hath say chhuker choomnay ya hathon ka isharah ker kay inhain choom laynay ko “Istilaam” kehtay hain.

Farman-e-Mustafa (S.A.W.W) hay: Roz-e-Qiyamat Yeh patthar uthaya jayega, is ki aankhain hongi jis say daykhay ga, zaban hogi jis say kalam karayga, jis nay Haq kay sath uska istilaam kiya us kay liye gawahi dayga. (Tirmizi vol. 2, pp. 286, Hadees 963) Ab


اَللّٰھُمَّ اِیْمَانًۢا بِكَوَاتِّبَاعًالِّسُنَّۃِ نَبِیِّكَ مُحَمَّدٍ صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَسَلَّمَط

Tarjamah: Ilahi tujh per imaan la ker aur teray Nabi Muhammad (S.A.W.W) ki Sunnat ki payrwi kernay ko Yeh tawaf karta hoon.

Kehtay huway Ka’bah Shareef ki taraf hi chehrah kiye seedhay hath ki taraf thorra sa sarakiye jab Hajar-e-Aswad aap kay chehray kay samnay na rahay (aur yeh adna si harakat may ho jayega) to foran is tarah seedhay ho jaiye kay Khana-e-Ka’bah aap kay ultay hath ki taraf rahay, is tarah chaliye kay kisi ko aapka dhakka na lagay. Mard ibtidayi 3 phayron may Ramal kertay chalayn ya’ni jald jald chotay qadam rakhtay, shanay (ya’ni kandhay) hilatay chalayn jaisay qawi-o-bahadur log chaltay hain. Ba’z log koodtay aur dorrtay huway jatay hain, yeh Sunnat nahin hay. Jahan jahan bheerr ziyadah ho aur Ramal may khud ko ya dusron ko takleef hoti ho utni dayr Ramal tark ker di jiye magar Ramal ki khatir rukiye nahin, tawaf may mashghool rahiye. Phir jun hi mauqa’ milay, utni dayr kay liye Ramal kay sath tawaf ki jiye. Tawaf may jis qadar Khana-e-Ka’bah say qareeb rahain yeh behtar hay magar itnay ziyadah qareeb bhi na ho jaye kay kaprra ya jism pushtah-e-deewar say lagay aur agar nazdeeki may hujoom kay sabab Ramal na ho sakay to ab doori behtar hay. Islami behnon kay liye tawaf may Khana-e-Ka’bah say doori afzal hay.

Exit mobile version