Subha Taiba Main Hui Bat-ta Hai Baara Noor Ka Naat Lyrics
Subha taiba mein hui bat’ta hai baara noor ka
Sadqa lainay noor ka aaya hai taraa noor ka
Bagh e tayba mein suhana phool phoola noor ka
Mast bo hain bulubalin padti hain kalma noor ka
Baarhavin ke chaand ka mujara hai sajda noor ka
Baara burjon se jhuka aik ik sitara noor ka
Un ke qasr e qadr se khuld aik kamrah noor ka
Sidrah payen baagh mein nanha sa poda noor ka
Arsh bhi firdos bhi is shah e wala noor ka
Yeh musamman burj woh mushkuway aala noor ka
Aayi bidat chhai zulmat rang badla noor ka
Maahe sunnat mehr e talat le le badla noor ka
Tairay hi maathey raha ae jaan sehra noor ka
Bikhat jaaga noor ka chamka sitaara noor ka
Mein gadda to badshah bhar day pyalaa noor ka
Noor din dona tera day daal sadqa noor ka
Teri hi janib hai paanchon waqt sajda noor ka
Rukh hai qibla noor ka abrow hai kaaba noor ka
Pusht par dhlka sar-e anwar se Shamla noor ka
Dekhen moose tor se utra sahifah noor ka
Taaj walay dekh kar tera amaamh noor ka
Sir jhukate hain ellahi bol baala noor ka
Beeni purnoor par rakhshan hai beka noor ka
Hai liwai ul hamd udta pharera noor ka
Mushaf aariz pay hai khat e shafee’a noor ka
Lau siya karo mubarak ho qabala noor ka
Aab e zar bantaa hai aariz par paseena noor ka
Mushaf e ejaaz par charhata hai sona noor ka
Paich karta hai fida honay ko lam’ea noor ka
Gard e sir phirnay ko bantaa hai amaamh noor ka
Haibat aariz se tharrata hai shola noor ka
Kafash e pa par gir ke ban jata hai guphpha noor ka
Shama dil mishkaa(t) tan sainharu jajah noor ka
Teri soorat ke liye aaya hai soorah noor ka
Mَil se kis darja suthra hai woh putla noor ka
Hai gilaay mein aaj taq kora hi karta noor ka
Tairay agay khaak par jhukta hai maatha noor ka
Noor ne paaya tre sjday se seima noor ka
To hai saya noor ka har uzuw tukraa noor ka
Saya ka saya nah hota hai nah saya noor ka
Kya bana naam kkhuda asra ka dulha noor ka
Sir pay sehra noor ka bar mein shahana noor ka
Bzm e wahdat mein maza ho ga dobala noor ka
Milnay shama tor se jata hai ikka noor ka
Wasf rukh mein gaati hain hooren taranah noor ka
Qudrati beeno mein kya bjta hai lahra noor ka
Yeh ktab e kun mein aaya turfh aaya e noor ka
Ghir e qaail kuch nah samgha koi maienay noor ka
Dekhnay walon ne kuch dekha nah bhaala noor ka
Man ra’aa kaisa yeh aaina dekhaya noor ka
Subah kar di kufar ki sacha tha musda noor ka
Shaam hi se tha shab_e_ terah ko dharka noor ka
Padtee hai noori bharan umda hai darya noor ka
Sir jhuka ae kisht e kufar aata hai ahla noor ka
Naariyom ka daur tha dil jal raha tha noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka
Naskh adyan kar ke khud qabza bithaya noor ka
Tajwar ne kar liya kacha ilaqa noor ka
Jo gadda dekho liye jata hai tora noor ka
Noor ki sarkar hai kya is mein tora noor ka
Bheek le sarkar se laa jald kaasa noor ka
Mah no taybah mein bat’ta hai maheena noor ka
Dekh un ke hotay nazebah hai daawa noor ka
Mehre e likh day yaan ke zarron ko muchalka noor ka
Yaan bhi daagh sajda e tayyiba hai tamgha noor ka
Ae qamar kya tairay hi maathey hai teeka noor ka
Shama saan aik aik parwana hai is ba noor ka
Noore haq se lau lagaye dil mein rishta noor ka
Anjuman walay hain anjum bazm halqa noor ka
Chaand par taron ke jhurmat se hai haala noor ka
Teri nsl e pak mein hai bacha bacha noor ka
To hai ain noor tera sab gharana noor ka
Noor ki sarkar se paaya doshala noor ka
Ho mubarak tum ko zunnurain jora noor ka
Kis ke parday ne kya aaina andha noor ka
Mangta phirta hai ankhen har nagina noor ka
Ab kahan woh tabishee(n) kaisa woh tarka noor ka
Mehr e ne choup kar kya khasa dhundhalka noor ka
Tum muqabil they to pahron chaand barhta noor ka
Tum se chaatt kar mnh nikal aaya zara sa noor ka
Qabar anwar kaheya ya qsr e mu’alla noor ka
Charkh atlas ya koi saada sa quba noor ka
Aankhh mil sakti nahi dur par hai pahra noor ka
Taab hai be hukum par maaray parindah noor ka
Nazaa mein lautay ga khakِ dur pay shaida noor ka
Mar ke oorhay gi aroos jaan doopata noor ka
Taab mohar hashar se chonke nah kushta noor ka
Bundiyan rehmat ki dainay ayen cheentta noor ka
Wazu e waz’e mein teri soorat hai maienay noor ka
Yun majaza chahain jis ko keh den kalma noor ka
Anabia ajza hain to bilkul hai jumla noor ka
Is ilaqay se hai unn par naam sacha noor ka
Yeh jo mohar o meh pay hai itlaq aata noor ka
Bheek tairay naam ki hai isteara noor ka
Surmagein ankhen hareem haq ke woh mashkein ghazaal
Hai faza e la maka(n) taq jin ka ramna noor ka
Taab husn garam se khil jayen ge dil ke kanwal
No baharen laaye ga garmi ka jhalka noor ka
Zarray mohar quds taq tairay tavassut se gie
Hadd e osat ne kya sughra ko qubra noor ka
Sabza e gurdon jhuka tha bahar pa bose buraq
Phir nah seedha ho saka khaya woh kora noor ka
Taab sam se chondhiyan kar chaand unhen qadmon phira
Hans ke bijli ne kaha dekha chhalawa noor ka
Deed naqash-e sm ko niklee saat pardon se nigah
Putliyaan bolein chalo aaya tamasha noor ka
Aks sm ne chaand sooraj ko lagaye chaar chaand
Pargaya seem o zare gurdon pay sikka noor ka
Chaand jhuk jata jidhar aungli uthatay mehd mein
Kya hi chalta tha ishaaron par khilona noor ka
Aik seenah taq mushabah ik wahan se paaon taq
Husn sabtain un ke jamon mein hai sibtain noor ka
Saaf shakal pak hai dono ke milnay se ayaan
Khat tawam mein likha hai yeh do 2 warqa noor ka
“kaaf” gaiso (haa) dahan (ya) abrow ankhen (aien)(suad)
(kaaf haa yaa aien suad) un ka hai chehra noor ka
Ae raza yeh ahmed noori ka faiz e noor hai
Hogayi meri ghazal barh kar qasida noor ka