Soona Jungle Raat Andheri Chaai Badli Kaali Hai with Lyrics
Soona jungle raat andheri chai badli kaali hai
Sonay walo! Jagtay rahiyo choro(n) ki rakhwali hai
Aankh se kajal saaf chura le(n) yaa(n) woh chor blaa ke hain
Teri gathri taaki hai aur tune neend nikali hai
Yeh jo tujh ko bulaataa hai yeh thag hai maar hi rakhay ga
Haae musafir dam mein nah aana mat kaisi matwaali hai
Saona paas hai sona ban hai saona zeher hai uth piyaray
Too kehta hai neend hai meethi teri mat hi nirali hai
Ankhen malna jhunjhla parna lakhoon jamai angrai
Naam par uthney ke larta hai uthna bhi kuch gaali hai
Jugno chamkay pata kharke mujh tanha ka dil dharkay
Dar samjhaye koi pawan hai ya agya betaali hai
Baadal garjay bijli tarpe dhak se kaleja ho jaye
Ban mein ghata ki bhayanak soorat kaisi kaali kaali hai
Paoo(n) uttha aur thokar khayi kuch sambhla phir ondhey munh
Meinh ney phislan kardi hai duhr tak khai naali hai
Saathi saathi keh ke pukaro(n) saathi ho to jawab aaye
Phir jhunjhla kar sar day patku(n) chal ray maula waali hai
Phir phir kar har janib daikhon koi aas nah paas kahin
Haa(n) ik tooti aas ney haarey jee say rafaqat paali hai
Tum to chaand arab ke ho piyaray tum to ajm ke sooraj ho
Dekho mujh bekas par shab ney kasisi aafat daali hai
Duniya ko tu kya jaaney yeh bas ki gaanth hai harafa
Soorat dekho zalim ki to kaisi bholi bhaali hai
Shehad dukhaey zeher pilaaye, qaatil, dyne, shohar kash
Is murdaar pay kya lalchaya duniya dekhi bhaali hai
Woh to nihayat sasta soda baich rahay hain jannat ka
Hum muflis kya mol chukae(n) apna haath hi khaali hai
Maula teray afwo o karam ho(n) mere gawah safai ke
Warna raza se chor pay teri digree to iqbali hai