Shukr e Khuda Ke Aaj Ghari Us Safar Ki Hai Naat Lyrics
Shukr e khuda ke aaj ghari uss safar ki hai
Jis par nisar jaan falah o zafar ki hai
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Nashukr yeh to dekh azeemat kidhar ki hai
Kis khaak e pak ki to bani khak e pa shifa
Tujh ko qasam janab e maseeha ke sar ki hai
Aab e hayaat rooh hai zarqa ki boond boond
Akseer azam mas dil khaak dar ki hai
Hum ko to apne saaye mein aaraam hi se laaye
Heelay bahanay walon ko yeh raah dar ki hai
Lut-tay hain maaray jatay hain yu(n) hi suna kiye
Har baar di woh amn ke ghairat hazr ki hai
Woh dekho jagmagati hai shab aur qamar abhi
Pehron nahi ke bast o chaharum sifar ki hai
Mah e madinah apni tajalli ataa kare !
Yeh dhalti chandni to peher do peher ki hai
Man zaara turbati wajabat lah shafa’ati
Unn par duroood jin se naveed in bushar ki hai
Is ke tufail hajj bhi khuda ne kara diye
Asal e murad haazri is pak dar ki hai
Kaaba ka naam tak na liya taiba hi kaha
Poocha tha hum se jis ne ke nuhzat kidhar ki hai
Kaaba bhi hai unhi(n) ki tajalli ka aik zall
Roshan inhi ke aks se putli hajar ki hai
Hotay kahan khalil o bina kaaba o mina
Lolaak walay sahbi sab teray ghar ki hai
Maula ali ne vari teri neend par namaz
Aur woh bhi asr sab se jo aala khatar ki hai
Siddeeq balkay ghaar mein jaan is pay day chuke aur hifz e jaa(n) to jaan faroz e gharar ki hai
Haa(n) tu ne un ko jaan unhei(n) phair di namaz
Par woh to kar chuke they jo karni bashar ki hai
Saabit hua ke jumla faraiz faru’ hain
Asal al usool bandagi us tajwar ki hai
Sharr kher shor soor sharar duur naar noor !
Bushra ke bargaah yeh kher-ul-bashar ki hai
Mujrim bulay aeye hain ja’ooka hai gawah
Phir radd ho kab yeh shaan kareemo(n) ke dar ki hai
Bad hain magar unhi(n) ke hain baaghi nahi hain hum
Najdi na aeye is ko yeh manzil khatar ki hai
Taf najdiyat na kufr nah islam sab pay harf
Kafir idhar ki hai na udhar ki adhar ki hai
Haakim hakeem daad o dawa dei(n) yeh kuch nah dei(n)
Marduud yeh murad kis aayat, khabar ki hai
Shakal bashar mein noore ilahi agar nah ho !
Kya qadr us khameera e ma o madar ki hai
Noor e ilaah kya hai mohabbat habeeb ki
Jis dil mei(n) yeh na ho woh jagah khook o khar ki hai
Zikr e khuda jo un se juda chaho najdiyo !
Wallah zikr e haq nahi kunji saqar ki hai
Be un ke waasta ke khuda kuch ataa kare
Haasha ghalat ghalat yeh hawas be basar ki hai
Maqsood yeh hain aadam o nooh o khaleel se
Takhm e karam mei(n) saari karaamat samar ki hai
Unn ki nabuwwat unn ki uboot hai sab ko aam
Umm ul bashar uroos unhi(n) ke pisar ki hai
Zahir mei(n) mere phool haqeeqat mei(n) mere nakhl
Is gul ki yaad mei(n) yeh sada bul bashar ki hai
Pehlay ho un ki yaad ke paye jila namaz
Yeh kehti hai azaan jo pichle pehar ki hai
Duniya mazaar hashr jaha(n) hain ghafoor hain
Har manzil apne chaand ki manzil ghafar ki hai
Unn par duroood jin ko hijr tak karen salaam
Un par salaam jin ko tahiyyat shajar ki hai
Unn par duroood jin ko kas e bekasaa(n) kahin
Unn par salaam jin ko khabar bekhabar ki hai
Jinn o bashar salaam ko haazir hain as-salaam
Yeh bargaah malik e jinn o bashar ki hai
Shams o qamar salam ko haazir hain as-salam
Khoobi inhai(n) ki jot se shams o qamar ki hai
Sab behar o bar salaam ko hazir hain as-salam
Tamleek inhee(n) ke naam to har behar o bar ki hai
Sang o shajar salaam ko haazir hain as-salam
Kalme se tar zabaan darakht o hijr ki hai
Arz o asar salaam ko haazir hain as-salam
Malja yeh bargaah duaa o asar ki hai
Shoridaa sar salaam ko haazir hain as-salam
Raahat inhee(n) ke qadmo(n) mein shoridaa sar ki hai
Khasta jigar salam ko haazir hain as-salam
Marham yahi(n) ki khaak to khasta jigar ki hai
Sab khushk o tar salaam ko haazir hain as-salam
Yeh jalwa gaah malik e har khushk o tar ki hai
Sab karr o far salaam ko haazir hain as-salam
Topi yahi(n) to khaak pay har karr o far ki hai
Ahley nazar salam ko haazir hain as-salam
Yeh gird hi to surma sab ahley nazar ki hai
Ansoo baha ke beh gaye kalay gunah ke dhair
Hathi dobaao jheel yahan chashm e tar ki hai
Teri qaza khaleefa e ahkaam e zuljalaal
Teri raza haleef qaza o qader ki hai
Yeh pyaari pyaari kiyari tere khanah baagh ki
Sard is ki aabb o taab se aatish saqar ki hai
Jannat mein aake naar mein jata nahi koi
Shukar khuda naveed nijaat o zafar ki hai
Momin hu(n) mominon pay ra’oof o raheem ho
Sa’el hu(n) sa’elon ko khushi laa nahar ki hai
Daman ka vaastaa mujhe uss dhoop se bacha
Mujh ko to shaaq jaarro(n) mein iss dopehar ki hai
Maa dono bhai betay bhateejay azeez dost
Sab tujh ko sonpe milk hi sab tairay ghar ki hai
Jin jin murado(n) ke liye ahbaab ne kaha
Paish khabeer kya mujhe haajat khabar ki hai
Fazl e khuda se ghaib shahadat hua inhei(n)
Is par shahadat aayat o wahi o asar ki hai
Kehna nah kehnay walay thay jab se to ittila’
Maula ko qoul o qaail o har khushk o tar ki hai
Unn par kitaab utri bayanal likulli shai’e
Tafseel jis mein ma ‘abar o ma ghabar ki hai
Agay rahi ataa woh baqadar talab to kya
Aadat yahan umeed se bhi beshtar ki hai
Be mangay denay walay ki n’emat mein ghark hai(n)
Mangay se jo miley kisay feham is qader ki hai
Ahbaab is se barh ke to shayad nah payen arz
Nakrdah arz arz yeh tarz e digar ki hai
Dandaa(n) ka na’at khuwa(n) ho(n) na payaab hogi aabb
Naddi galaay galaay mere aab e guhr ki hai
Dasht e haram mei(n) rehne day sayyaad agar tujhy
Matti azeez bulbul e be baal o par ki hai
Ya rab raza nah ahmed pareenah ho ke jaye
Yeh bargaah teray habeeb abar ki hai
Tofeeq day ke agay na peda ho khosoy bad
Tabdeel kar jo khaslat bad peshtar ki hai
Aa kuch suna day ishq ke bolu(n) mein ae raza
Mushtaq tab’ae lazzat e soz e jigar ki hai