Sarwar Kahoon Ke Maalik o Maula Kahun Tujhe Naat Lyrics

Sarwar Kahoon Ke Maalik o Maula Kahun Tujhe Naat Lyrics

Sarwar Kahoon Ke Maalik o Maula Kahun Tujhe Naat Lyrics,khaaliq ka banda khalq ka aaqa kahun tujhe

Sarwar kahoo(n) ke maalik o moola kahun tujhe

Bagh e khalil ka gul e zaiba kahun tujhe

Hurmaa(n) naseeb ho(n) tujhe umeed geh kahun

Jaan e murad o kaan tamanna kahun tujhe

Gulzaar quds ka gul e rangei(n) ada kahun

Darmaan e dard e bulbul shaida kahun tujhe

Subah watan pay sham e ghreeba(n) ko du(n) sharaf

Bekus nawaz gaisuoo(n) wala kahun tujhe

Allah ray tairay jism munawwar ki taabishie(n)

Ae jaan e jaan mein jaan e tajalla kahun tujhe

Be daagh lala ya qamar be kalaf kahun

Be khaar gulban chaman aara kahun tujhe

Mujrim hoon apne afoo ka saman karoon sh_ha

Yani shafi roz e jaza ka kahun tujhe

Iss murda dil ko musda hayaat abadd ka dun

Taab o twan jaan e maseehaa kahun tujhe

Tairay to wasf aib tanahi se hain bari

Heraan hoon mere shah mein kya kya kahun tujhe

Keh le gi sab kuch unn ke sanakhwan ki khamushi

Chup ho raha hai keh ke mein kya kya kahu(n) tujhe

Lekin raza ne khatm e sukhan is pe kardiya

Khaliq ka banda khalq ka aaqa kahu(n) tujhe

Exit mobile version