Sar Soye Roza Jhuka Phir Tujh Ko Kya Lyrics

Sar Soye Roza Jhuka Phir Tujh Ko Kya Lyrics

Sar Soye Roza Jhuka Phir Tujh Ko Kya Lyrics

Sar sue roza jhuka phir tujh ko kya
dil tha Sajid najdiya phir tujh ko kya
baith-tay uth-tay madad ke wastay
Ya Rasool Allah kaha phir tujh ko kya
ya gharz se chatt ke mehez zikr ko
Naam e pak unn ka japaa phir tujh ko kya
be khudi mein sajda e Darya tawaf
jo kya achaa kya phir tujh ko kya
un ko Tamleek Maleekul Mulk se
malik e aalam kaha phir tujh ko kya
un ke Naam e pak par dil jaan o maal
najdiya sab tajdiya phir tujh ko kya
Yaa’Ibadi keh ke hum ko Shah ny
apna bandah kar liya phir tujh ko kya
deo ke bando(n) se kab hai yeh khitaab
tu na unn ka hai na tha phir tujh ko kya
Laa Ya’uuduun agay ho ga bhi nahi
Tu alag hai daaema phir tujh ko kya
dasht e gard o paish e taiba ka adab
Makkah sa tha ya siwa phir tujh ko kya
najdi marta hai ke kyu(n) ta’zeem ki
yeh hamara deen tha phir tujh ko kya
deo tujh se khush hai phir hum kya kare(n)
hum se raazi hai khuda phir tujh ko kya
deo ke bando(n) se hum ko kya gharz
hum hain Abd e Mustafa phir tujh ko kya
teri dozakh se to kuch cheena nahi
khuld mein pouncha Raza phir tujh ko kya

Exit mobile version