Raah Purkhar Hai Kya Hona Hai with Lyrics
Raah purkhar hai kya hona hai
Paao(n) afgaar hai kya hona hai
Khushk hai khoon ke dushman zalim
Sakht khonkhawar hai kya hona hai
Hum ko bad kar wohi karna jis se
Dost bezaar hai kya hona hai
Tan ki ab kon khabar le hai hai
Dil ka azaar hai kya hona hai
Meethay sharbat day masiihaa jab bhi
Zid hai inkaar hai kya hona hai
Dil ke timaar hamara karta
Aap bemaar hai kya hona hai
Par katay tang qafas aur bulbul
No girftar hai kya hona hai
Choup ke logon se kiye jis ke gunah
Woh khabardaar hai kya hona hai
Arrey o mujrim be parwa dekh
Sir pay talwar hai kya hona hai
Tairay bemaar ko mere eesa
Ghash lagataar hai kya hona hai
Nafs pur zor ka woh zor aur dil
Zair hai zaar hai kya hona hai
Kaam zanda(n) ke kiye aur hamei(n)
Shoq e gulzaar hai kya hona hai
Haae ray neend musafir teri
Kooch taiyar hai kya hona hai
Door jana hai raha din thora
Raah dushwar hai kya hona hai
Ghar bhi jana hai musafir ke nahi
Mat pay kya hamari hai kya hona hai
Jaan halkaan hui jati hai
Baar sa baar hai kya hona hai
Paar jana hai nahi millti naao
Zor par dhaar hai kya hona hai
Raah to tegh par aur talwon ko
Gila e khaar hai kya hona hai
Roshni ki hamein aadat aur ghar
Teira e o taar hai kya hona hai
Beech mein aag ka darya hayel
Qasad is paar hai kya hona hai
Is kari dhoop ko kyun kar jhelen
Shola zann naar hai kya hona hai
Haae bigri to kahan aa kar naao
Ain manjhdhar hai kya hona hai
Kal to deedar ka din aur yahan
Aankhh be car hai kya hona hai
Mooh dikhaane ka nahi aur sehar
Aam darbaar hai kya hona hai
Un ko reham aeye to aeye warna
Woh kari maar hai kya hona hai
Le woh haakim ke sipahi aeye
Subah izhaar hai kya hona hai
Wahn nahi baat bananay ki majaal
Charah iqraar hai kya hona hai
Saath walo(n) nay yahi(n) chordiya
Be kasi yaar hai kya hona hai
Aakhri deed hai ao mil le(n)
Ranj be kar hai kya hona hai
Dil hamein tum se lagana hi na tha
Ab safar baar hai kya hona hai
Jane walon pay yeh rona kaisa
Bandah nachar hai kya hona hai
Nazaa mein dheyaan nah but jaye kahin
Yeh abs pyar hai kya hona hai
Is ka gham hai ke har ik ki soorat
Gilaay ka haar hai kya hona hai
Battain kuch aur bhi tum se karte
Par kahan waar hai kya hona hai
Kyun raza kurhtay ho hanstay utho
Jab woh ghaffar hai kya hona hai