Raah e arfaan se jo hum nadeedah ro mehram nahi
Mustafa hai masnad e irshad par kuch gham nahi
Hoo(n) musalmaan garch e naaqis hi sahi ae kaamilo!
Mahiat pani ki aakhir yum se num mein kam nahi
Ghunche ma maa aoha ke jo chatkay danaa ke baagh mein
Bulbul sidra tak unn ki bu se bhi mehram nahi
Uss mein zamzam hai ke tham tham is mein jimjim hai ke besh
Kasrat e kausar mein zamzam ki terhan kam kam nahi
Panja e mehar arab hai jis se darya beh gaye
Chashma e khurshid mein to naam ko bhi num nahi
Aisa ammi kis liye minnat kash ustad ho
Kya kifayat is ko iqra rabbukal akram nahi
Aos mohar hashr par par jaye piyasoo to sahi
Us gul e khanda(n) ka rona girya e shabnam nahi
Hai unhen ke dam qadam ki bagh e aalam mein bahhar
Woh nah they aalam nah tha gir woh nah hon aalam nahi
Saaya e deewar o khak e dar ho yarab aur raza
Khuwahish e deehihm e qaisar, shoq e takhat jim nahi