Download Qurbani ki Dua in PDF
Qurbani ka Tarika:
Qurbani se Pehle Qurbani ki Dua parhein aur Qurbani Karte waqt Qurbani karne wala aur janwar dono ka mun Qibla (Kaaba) ki taraf ho. Pakistan or India mai Kaaba Maghrib (West) main hai isliye janwar ka sar junoob (South) ki taraf ho auruski peeth mashriq (East) ki taraf ho aur uska mun Qibla “Kaabay” ki taraf ho. Zibah karne wala apna seedha paon janwar ki gardan ke seedhay taraf pehlu par rakhay aur اَللہُمَّ لَکَ وَمِنْکَ بسْمِ اللّٰہِ اَللہُ اَکْبَر parh kar tez churi se jald zibah kardijiye aur ye dua parhiye اَللہُمَ تَقَبَّلْ مِنِّی کَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِیْلِکَ اَبْرَاہِیمَ عَلَیْہِ الصَّلْوٰۃُ وَالسَّلَامُ وَحَبِیْبِکَ مُحَمَّدٍ صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّم agar qurbani kisi aur ki taraf se ho to مِنّی ki jaga مِنْ keh kar uska naam lijiye/ agar apna ya janwar ka mun qibla ki taraf nahi kiya to makrroh hai.
Note:
Agar aik se zyada churi chalanay walay hoon to sab par Bismillah kehna wajib hai agar na kaha to Janwar halal nahi hoga