Paish e Haq Muzda Shafaa’at Ka Sunatay Jayen Gey Naat Lyrics
Paish e haq muzda shafaa’at ka sunatay jaye(n) ge
Aap rotay jaye(n) gey hum ko hansate jaye(n) ge
Dil nikal janey ki ja hai aah kin aankho(n) se woh
Hum se pyaason ke liye darya bahate jaye(n) ge
Kushtgaan e garmi e mehshar ko woh jaan e maseeh
Aaj daman ki hawa day kar jilatay jaye(n) ge
Gul khulay ga aaj yeh unn ki naseem faiz se
Khoon rotay ayen ge hum muskuratay jaye(n) ge
Haan chalo hasrat zado suntay hain woh din aaj hai
Thi khabar jis ki ke woh jalwa dikhata jaye(n) ge
Aaj eid e aashiqaa(n) hai gar khuda chahay ke woh
Abruye paiwastah ka aalam dikhata jaye(n) ge
Kuch khabar bhi hai faqeero aaj woh din hai ke woh
Nemat e khald apne sadqy mein lutatay jaye(n) ge
Khaak uftado bas unn ke anay hi ki daer hai
Khud woh gir kar sajda mein tum ko uthate jaye(n) ge
Wus’atein di hain khuda naay daman e mehboob ko
Jurm khultay jayen ge aur woh chupatay jaye(n) ge
Lo woh aaye muskuratay hum aseero(n) ki taraf
Khrman e isyaa(n) par ab bijli giratay jaye(n) ge
Aankhh kholo ghamzado dekho woh giryaa(n) aeye hain
Looh e dil se naqsh e gham ko ab mitatay jaye(n) ge
Sokhta janoo(n) pay woh pur josh rehmat aaye hain
Aab e kusar se lagi dil ki bhujaty jaye(n) ge
Aftaab unn ka hi chamkay ga jab ouron ke chairag
Sar sar josh e bulaa se jhil milaate jaye(n) ge
Paye kobaa(n) pul se guzre(n) ge teri aawaz par
Rab e sallim sada par wajd laatay jaye(n) ge
Sarwar e dee(n) lije apne naatwanoo(n) ki khabar
Nafs o shaitan sayyeda kab tak dabatay jaye(n) ge
Hashar tak dalai(n) ge hum paidaish e moola ki dhoom
Misl e faris najd ke qilay giratay jaye(n) ge
Khaak ho jaye(n) ado jal kar magar hum to raza
Dam mein jab tak dam hai zikr unn ka sunatay jaye(n) ge