Nematain Baantta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya Naat Lyrics
N’ematai(n) baant-ta jiss samt woh zeeshan gaya
Saath hi munshiye rehmat ka qalam daan gaya
Le khabar jald ke gheiron ki taraf dheyaan gaya
Mere moola mere aaqa tere qurbaan gaya
Aah woh aankhh ke nakaam tamanna hi rahi
Haae woh dil jo tere dar se pur armaan gaya
Dil hai woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sir hai woh sir jo tere qadmo(n) pay qurbaan gaya
Unhei(n) jana unhei(n) mana nah rakha ghair se kaam
Lillahil hamd mein duniya se musalman gaya
Aur tum par mere aaqa ki inayat nah sahi
Najdiyo! Kalma parhanay ka bhi ehsaan gaya
Aaj le unn ki panah aaj madad maang unn se
Phir nah manai(n) ge qayamat mei(n) agar maan gaya
Uff ray munkir yeh barha josh e taasub aakhir
Bheer mei(n) haath se kambakht ke imaan gaya
Jaan o dil hosh o khirad sab to madeenay puhanchey
Tum nahi chaltay raza sara to samaan gaya