Mohammed Ke Shaher Mein Lyrics

Kiun Akay Ro Raha Hai Mohammad K Sheher Mai
Har Dard Ki Dawa Hai Mohammad K Sheher Mai

Qadmo Ne Unke Khaak Ko Kndan Bana Dia
Matti Bh Kemia Hai Mohammad K Sheher Mai

Sadqa Luta Raha Hai Khuda Unke Nam Ka
Sona Nikal Raha Hai Mohammad K Sheher Mai

Sb To Jhukay Hen Khanaye Kaba K Samne
Kaba Jhuka Huwa Hai Mohammad K Sheher Mai

Ay Mot Abh Aaky Galay Se Laga Mujhe
Marna Mai Chahta Hun Mohammad K Sheher Mai

Ay Raz Grche Hind Mai Mojood Hun Magar
Dil Naat Parh Raha Hai Mohammad K Sheher Mai

Exit mobile version