Kis Ke Jalway Ki Jhalak Hai Yeh Ujala Kya Hai Naat Lyrics
Kis ke jalway ki jhalak hai yeh ujala kya hai
Har taraf deedah e herat zada takta kya hai
Maang mann manti mooh maangi muradei(n) le ga
Nah yahan”na”hai nah mangtaa se yeh kehna “kya hai”
Pand karvi lagey naaseh se trsh ho ae nafs
Zehr e isyaa(n) mein sitam gir tujhy meetha kya hai
Hum hain unn ke woh hain tairay to hue hum tairay
Is se barh kar teri samt aur waseela kya hai
Un ki ummat mein banaya unhai(n) rehmat bheja
Yun nah farma ke tera reham mein daawa kya hai
Sadqa pyare ki haya ka ke nah le mujh se hisaab
Bakhash be poochay lajaaey ko lajana kya hai
Zahid unn ka mein guneh gaar woh mere shaf’e
Itni nisbat mujhe kya kam hai too samjha kya hai
Be basi ho jo mujhe pursish aamaal ke waqt
Dostoo! Kya kahoon uss waqt tamanna kya hai
Kash faryaad meri sun ke yeh farmaen huzoor
Haan koi dekho yeh kya shor hai ghoga kya hai
Kon aafat zada hai kis pay bulaa tooti hai
Kis museebat mein giraftar hai sadma kya hai
Kis se kehta hai ke lillah khabar lije meri
Kyun hai betaab yeh be chaini ka rona kya hai
Is ki be chaini se hai khatir aqes pay malal
Be kisi kaisi hai pucho koi guzra kya hai
Yun malaik karen ma’rooz ke ik mujrim hai
Is se prssh hai bta too ne kiya kya kya hai
Saamna qehar ka hai daftar e aamaal hain paish
Dar raha hai ke kkhuda hukum sunataa kya hai
Aap se karta hai faryaad ke ya shah e rusul
Bandah be kis hai shaha reham mein waqfa kya hai
Ab koi dam mein giraftar e balaa hota hu(n)
Aap ajayeen to kya khauf hai khatka kya hai
Sun ke yeh arz meri behr e karam josh mein aeye
Yun malaik ko ho irshad “theharna kya hai”
Kis ko tum moord e afaat kiya chahtay ho !
Hum bhi to aake zara dekhe(n) tamasha kya hai
Unn ki aawaz pay kar uthun mein bey sakhta shor
Aur tarap kar yeh kahoon ab mujhe para kya hai
Lau woh aaya mera haami mera gham khawar e umam !
Aagai jaa(n) tan be jaa(n) mein yeh aana kya hai
Phir mujhe daman e aqes mein chhupa len suroor
Aur farmaen hato is pay taqaza kya hai
Bandah azad shudah hai yeh hamaray dar ka
Kaisa letay ho hisaab is pay tumhara kya hai
Chor kar mujh ko farishtay kahin mehkoom hain hum
Hukm e wala ki nah tameel ho zahrah kya hai
Yeh samaa dekh ke mehshar mein uthay shor ke wah
Chasham bad door ho kya shaan hai rutba kya hai
Sadqy is reham ke is saaya e daman pay nisar
Apne bande ko museebat se bachaaya kya hai
Ae raza jaan e anadil tere naghmon ke nisar
Bulbul bagh e madinah tera kehna kya hai