Jo Banon Par Hai Bahaar Chaman Aarai Dost Lyrics
Jo banon par hai bahhar chaman aarai dost
Khuld ka naam nah le bulbul shedai dost
Thak ke baithy to dar-e dil pay tamannai dost
Kon se ghar ka ujala nahi zebaaie dost
Arsa e hashar kja mo qafmehmood kja
Saaz hungamon se rakhti nahi yaktai dost
Mohar kis mnh se jalo daari janaan karta
Saya ke naam se bezaar hai yaktai dost
Marnay walon ko yahan millti hai umar javed
Zindah chhorey gi kisi ko nah masehaie dost
Un ko yaktaa kya aur khalq banai yani
Anjuman kar ke tamasha karen tanhai dost
Kaaba o arsh mein kohram hai nakami ka
Aah kis bazm mein hai jalwa e yaktai dost
Husn be parda ke parday ne mita rakha hai
Dhoandne jayen kahan jalwa e herjaai dost
Shoq rokay nah roke paaon uthaiye nah uthay
Kaisi mushkil mein hain allah tamannai dost
Sharam se jhukti hai maharab ke sajid hain huzoor
Sajda krwati hai kaaba se jabeen sai dost
Taaj walon ka yahan khaak pay maatha dekha
Saaray daraaon ki dara hui darai dost
Tor par koi, koi charkh pay yeh arsh se paar
Saaray baalaon pay baala rahi balai dost
Anta faheem ne aduww ko bhi liya daman mein
Aish javed mubarak tujay shedai dost
Ranj aada ka raza charah hi kya hai jab unhein
Aap gustaakh rakhay halm o shakebaai dost