Faslon Ko Takalluf Lyrics
Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi bebas nahi be sahara nahi(n)
Khud unhi ko pukare(n) gy hum door sey
Raaste main agar paao(n) thak jayen gy
Hum Madinay main tanha nikal jayen gy
Aur galiyoo(n) main qasdan bhatak jayen gy
Hum wahan ja ke wapas nahi ayengy
Dhondte dhondte log thak jayen gy
Jaise hi Sabz Gumbad nazar ayega
Bandagi ka qareena badal jaye ga
Sir jhuka ne ki fursat milegi kise
Khud hi palkon se sajde tapak jayen gy
Naam e Aqa jahan bhi liya jaye ga
Zikr unka jahan bhi kiya jaye ga
Noor hi noor seeno main bhar jaye ga
Saari mehfil main jalwe lapak jayen gy
Ae Madinay ke zaair Khuda ke liye
Dastaan e safar mujhko yun mat suna
Baat barh jaye gi dil tarap jaye ga
Mere mohtat aanso chalak jayen gy
Unki chashm e karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shoq e safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili
Hum bhi Aaqa ke darbaar tak jayen gy
Faslon ko takalluf hai humse agar
Hum bhi bebas nahi be sahara nahi(n)
Khud unhi ko pukare(n) gy hum door sey
Raaste main agar paao(n) thak jayen gy