Dil Ko Un Se Khuda Juda Na Kare Naat with Lyrics

Dil Ko Un Se Khuda Juda Na Kare Naat with Lyrics

Dil Ko Un Se Khuda Juda Na Kare Naat with Lyrics,Dil ko unse Khuda naat lyrics

Dil ko unn se khuda juda na kare

Be kasi loot le khuda na kare

Is mein raoza ka sajda ho ke tawaf

Hosh mein jo nah ho woh kya na kare

Yeh wohi hain ke bakhash dete hain

Kon un jrmon par saza na kare

Sab tabeebo(n) ney day diya hai jawab

Aah eesa agar dawa na kare

Dil kahan le chala haram se mujhe

Arrey tera bura khuda na kare

Uzr umeed afoo gar na sunen

Ro siyah aur kya bahana kare

Dil mein roshan hai shama ishq e huzoor

Kash josh e hawas huwa na kare

Hashar mein hum bhi sair dekhen ge

Munkir aaj un se iltija na kare

Zu’af maana magar yeh zalim dil

Unn ke raste mein to thaka na kare

Jab teri kho hai sab ka jee rakhna

Wohi acha jo dil bura na kare

Dil se ik zouq e me ka taalib ho(n)

Kon kehta hai itqa na kare

Le raza sab chalay madinay ko

Mein nah jaao(n) arey khuda na kare

Exit mobile version