Dare Nabi Par Para Rahon Ga Lyrics

Dare Nabi Par Lyrics

Dare Nabi Par Lyrics

Dare Nabi par para rahon ga
Pare hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khulegi meri
Kabhi to mera salam hoga

Kiye hi jaunga ga arz main talab
Milega jab tak na dil ka matlab
Na sham e matlab ki subha hogi
Na ye fasana tamaam hoga

Isi tawaqqa pe ji raha hun
Yahi tamanna jila rahi hai
Nigah e lutf o karam na hogi
To mujhko jeena haraam hoga

Khilaf e mashooq kuch hua hai
Na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar hi ae dil
Jidhar wo aali maqam hoga

Jo dil se hai maail e Payambar
Ye uski pehchan hai muqarrar
Ke har dam us be nawa ke lab par
Durood hoga Salaam hoga

Mareez e khulqat jiye ga kyu(n) kar
Jiya to jeena haraam hoga
Na chain hoga barang e bismil
Tarap tarap kar tamaam hoga

Dare Nabi par para rahon ga
Pare hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khulegi meri
Kabhi to mera salam hoga

Exit mobile version