Bulalo Phir Mujhe Ae Shah e Bahr o Bar Lyrics
Bula lo phir mujhe ae shah e bahr o bar madinay main
Main phir rota hua aau(n) tere dar par madinay main
Main pohncho(n) koye janaa(n) main garebaa(n) chaak seena chaak
Gira day kaash mujhko zoq tarpa kar madinay main
Madinay jaanay walo jaao jaao fee aman illah
Kabhi to apna bhi lag jaye ga bistar madinay main
Salaam e shoq kehna haajio mera bhi ro ro kar
Tumhay aaey nazar jab roza e anwar madinay main
Payaam e shoq lete jaao mera qafilay walo
Sunana dastaan e gham mera rokar madinay main
Mera gham bhi to dekho main para hoo(n) door taiba se
Sukoo(n) paye ga bas mera dil e muztar madinay main
Na ho mayoos dewaano pukaare jao tum unko
Bulayen gey tumhe bhi aik din sarwar madinay main
Judaai ki ghari aashiq pe be had shaaq hoti hai
Wo rota hai tarap kar hichkiyaa(n) bhar kar madinay main
Bula lo hum ghareebo(n) ko bula lo Ya Rasool Allah
Pae Shabbir o Shabbar Fatima Haider madinay main
Waha(n) ik saas mil jaye yahi hai zeest ka hasil
Wo qismat ka dhani hai jo gaya dam bhar madinay main
Madina mera seena ho, Mera seena madina ho
Madina dil ke andar ho dil e muztar madinay main
Na dolat day na sarwat day mujhe bas ye sa’adat day
Teray qadmoo(n) main mar jaoo(n) main ro ro kar madinay main
Pae tableegh e sunnat tu jahaa(n) rakhy magar ae kaash
Main khuwabo(n) main pohnchta hi rahoo(n) aksar madinay main
Madina is liye Attar jaan o dil se hai piyaara
Ke rehte hain meray aaqa meray dilbar madinay main