Arsh Ki Aqal Dang Hai Charkh Mein Aasman Hai Naat Lyrics
Arsh ki aqal dang hai charkh mein aasman hai
Jaan e murad ab kidhar haae tera makaan hai
Bazm e sana e zulff mein meri uroos e fikar ko
Saari bahaar husht khuld chhota sa itar daan hai
Arsh pay ja ke murgh e aqal thak ke gira ghash aagaya
Aur abhi manzilo(n) paray pehla hi aastan hai
Arsh pay taaza cherchar farsh mein tarfah dhoom dhaam
Kaan jidhar lagaiye teri hi daastaan hai
Ik tere rukh ki roshni chain hai do jahan ki
Ins ka uns usi se hai jaan ki woh hi jaan hai
Woh jo nah thay to kuch na tha woh jo na ho(n) to kuch na ho
Jaan hai(n) woh jahan ki jaan hai to jahan hai
Goad mein aalam e shabab haal e shabab kuch nah pooch !
Gulban e bagh e noor ki aur hi kuch uthaan hai
Tujh sa siyah kar kon unn sa shafee hai kahan
Phir woh tujhi ko bhool jayen dil yeh tera gumaan hai
Paish e nazar woh no bahar sajday ko dil hai be qarar
Rokiye sar ko rokiye haa(n) yahi imthehaan hai
Shan e khuda na sath day unn ke khiraam ka woh baaz
Sidra se taa zamee jisay naram si ik uran hai
Baar e jalal uttha liya garche kaleja shaq howa
Yun to yeh mahe sabza rang nazron mein dhaan paan hai
Khauf nah rakh raza zara tu to hai abd e mustafa
Tairay liye amaan hai tairay liye amaan hai