Arafat shareef ko rawangi 9 Zul-Hijjah ko Namaz-e-Fajr Mustahab waqt may ada kar kay Labbaik aur Zikr-o-Du’a may mashghol rahiye yahan tak suraj tuloo’ honay kay ba’d Masjid-e-Khayf Shareef kay saminay waaqi’ “Kooh-e-Sabeer” par chamkay ab dharraktay huway dil kay sath janib ‘Arafat Maidan chaliye aur raastay bhar Labbaik aur Zikr-o-Durood ki kasrat rakhiye. Dil ko khayal-e-ghayr say pak karnay ki Koshish kijiye kay aaj woh din hay kay kuch ka Hajj qabool kiya jayega aur kuch ko inhi maqboleen kay tufayl bakhsha jayega. Mahroom woh jo aaj mahroom raha, agar waswasay aayen to un say bhi larraye mat bandhiye kay yun bhi Shaytan ki kamyabi hay kay us nay aap ko kisi aur kaam par lagadiya! Bas aap ki aik hi dhun ho kay mujhay apnay Rab say kaam hay. Yun karnay say Shaytan nakaam-o-namuraad dafa’ ho ga.
Arafat Kay Maidan Ki Dua
اَللّٰھُمَّ اجْعَلْھَا خَیْرَ غُدْوَۃٍ غَدَوْتُھَاقَطُّ وَقَرِّبْھَا مِنْ رِضْوَانِکَ وَاَ بْعِدْھَا مِنْ سَخَطِکَ وَ اَللّٰھُمَّ اِلَیْکَ تَوَجَّھْتُ وَعَلَیْکَ تَوَکَّلْتُ وَلِوَجْھِکَ الَکَرِیْمِ اَرَدْتُّ فَاجْعَلْ ذَنْبِیْ مَغْفُوْرًا وَّحَجِّیْ مَبْرُوْرًا وَّارْحَمْنِیْ وَلَاتُخَیِّبْنِیْ وَبَارِکْ لِیْ فِیْ سَفَرِیْ وَاقْضِ بِعَرَفَاتٍ حَاجَتِیْ اِنَّکَ عَلٰی کُلِّ شَیْئٍ قَدِیْرٌط وَبَارِکْ لِیْ فِیْ سَفَرِیْ وَاقْضِ بِعَرَفَاتٍ حَاجَتِیْ اِنَّکَ عَلٰی کُلِّ شَیْئٍ قَدِیْرٌط
Tarjamah: Aye Allah Meri is subh ko tamam subhon say achi bana day aur isay apni khushnudi say qareeb kar aur apni nakhushi say door kar. Aye Allah Main teri taraf mutawajjeh huwa aur tujh par Main nay Tawakkul kiya aur teray wajh-e-kareem ka iradah kiya Tu meray gunah bakhsh aur meray Hajj ko mabror kar aur mujh par raham farma aur mujhay mahroom na kar aur meray safar mai meray liye barakat ‘ata farma aur ‘Arafat kay Maidan mai meri hajat poori kar, beshak Tu har cheez par qudrat rakhnay wala hai.