Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Kaali Hai with Lyrics
Andheri raat hai gham ki ghata isyaa(n) ki kaali hai
Dil e bekas ka iss aafat mein aaqa too hi wali hai
Nah ho mayoos aati hai sada goar e ghareeba(n) se
Nabi ummat ka haami hai khuda bandoo(n) ka waali hai
Utarte chaand dhalti chandni jo ho sakay kar le
Andhera paakh aata hai yeh do din ki ujali hai
Arrey yeh bhairyoo(n) ka ban hai aur shaam aagai sir par
Kahan soya musafir haae kitna laa ubaali hai
Andhera ghar, akeli jaan, dam ghut’ta, dil uktata
Khuda ko yaad kar pyare woh saa’at anay wali hai
Zamee tapti, kateeli raah, bhaari boojh, ghayal paao(n)
Museebat jhailney walay tera allah waali hai
Nah chaonka din hai dhalnay par teri manzil hui khotti
Arrey o jaaane walay neend yeh kab ki nikaali hai
Raza manzil to jaisi hai woh ik mein kya sabhi ko hai
Tum is ko rotay ho yeh to kaho yaan haath khaali hai